Aj ke time me koch log apni sim ko online recharge kawa lete hai aur koch log load karwate hai. Aur scratch card ko apni sim me feed karte hai.
To aise me koch log scratch card ko istmal kar ke apni sim ko recharge karna nahi jante hai aur ye maloomat ham un logo ke liye share kar rahe hai.
Jo dukan se 100 rupee ka card khareed lete hai aur kisi aur se card save karwate hai. Aj ham aap ko tammam network ke scratch card ko load karne ka tarika bataye ge. To shuru karte hai.
Scratch Card Load Code
Scratch card ko load karne ka code sabhi network ka alag alag hota hai. To card ko load karte waqat jis network ki sim istmal kar rahe hai sirf wohi code milaye jaise ham ne niche aap ko bataya hai.
Ham aap ko pehle Jazz, pher Telenor aur bad me Zong os ke bad Ufone aur pher akhir me SCOM ka card load ka code aur tarika bataye ge.
Jazz Card Load Code
Jazz aur Warid sim me card load karne ke liye *123*14 hindso ka scratch card number likhe pher# dial kare. Aise karne ke bad aap ki majooda sim me card save ho jaye ga.
Telenor Card Load Code
Telenor apne pyare tammam customers ke liye bhi aik makhsos code faraham karta hai. Telenor scratch card ko apni Telenor ki sim me load karne ke liye *555*card number# dial kare.
Zong Card Load Code
Zong ka Scratch card Zong sim me save karne ke liye 3 tarike deta hai aap kisi bhi tarike ka istmal kar ke Zong sim card me card ko save kar sakte ho. 3no tarike niche majood hai.
- Dial kare *101*card number#
- 101 milaye
- ya 100 dial kare
Ufone Card Load Code
Agar aap Ufone ki prepaid sim istmal karte hai to is me card ko load karne ke liye *123*card par majood number# dial kare.
Postpaid sim me card save karne ke liye *126*number# dial kare.
SCOM Card Load Code
To agar aapke pass SCOM sim hai aur aap Scom sim me card load karna chahte hai to *126*number# dial kare.
Akhri Paragraph
To dosto ham ne aap ko tammam network ke secratch card ko sim me feed karne ke code bataye hai agar is ke bare me aap ke dost nahi jante to un ke sath is article ko share kare aur agar aap ko card load karne me issue hota hai to hame bataye. ham aapki madad kare ge.
- All SIM Balance Share Karne ka Tarika