Jazz Cash Account Banane Ka Tarika in Hindi/Urdu

Jazz Cash Account Banane Ka Tarika. Hello dosto agar aap jazz cash account bannana chahte hai to aj ham yehi sekhe ge ke jazz cash account open karne ka tarika kya hai.

Jazz Cash Account Banane Ka Tarika

Pehle ham jan lete hai ke jazz cash account kya hai.

Jazz Cash Account Kya Hai?

Jazz cash account ko jazz cash mobile account bhi kaha jata hai. Jazz cash ka Pehle name Mobicash tha. Mobicash ko 2012 me Mobilink ne Waseela Bank ki sharakat(شراکت) me launched kiya tha. jis ko aj Microfinance Bank kaha jata hai. 2016 me jazz ke launched hone ke bad mobicash ka name jazz cash rakh diya gaya.

Jazz Cash Account Banane Ke Tarike

Jazz cash account banane ka tarika bohat asan hai aap koch steps me aapna jazz cash account bana sakte hai.

Jazz cash account ham 2 trike se bana sakte hai.

  1. Jazz cash app se (use jazz cash app)
  2. Bina(without) jazz cash app (use mobile number)

Ham jazz cash app ka use kar ke jazz cash account kholne ka tarika bataye ge. kiu ke ye tarika best hai aap kisi bhi network Jazz/Warid, Telenor, Zong, Ufone ka mobile number istmal kar ke easily jazz cash account bana sakte hai. Pehle ham jan lete hai jazz cash account ke fayde kya hai.

Jazz Cash Account ke Fayde

Jazz cash account ke bohat fayde hai. ham importent faide jan lete hai.

  • Jazz cash se mobile load, bill payment, till payment,  money transfer, traffic challan ki payment kar sakte hai.
  • Agar aap apne jazz cash account me 1000 rupe rakhte hai to aapko rozana 30 mints 30 SMS 30 Mb internet diya jata hai.
  • Jazz cash se loan bhi le sakte hai.
  • Jazz cash Visa(ATM) Card bhi banwa sakte hai. jisse aap duniya bhar me(world wide) istmal kar sakte hai.
  • Subse acha faida iska ye hai ke aap jitne paise kisi dosre jazz cash account ya bank account me send karo to aapko koi fees ya charges nahi hoga.

Ab jan lete hai ke jazz cash account kaise banate hai.

Jazz Cash Account Banane ka Tarika (use jazz cash app)

Jazz Cash Account koch steps me bana lege aap niche steps ko follow kare.

Step 1:

Sabse pehle jazz cash app play store ya apple store se install kar ke open kar lena hai phone me.

Step 2:

Yaha aapne apna mobile number likh kar Next par click karna hai.

Step 3:

Ab yaha aapko details likhni hai.

  1. Name: Yaha apna name likhe.
  2. CNIC: Apna cnic( id card ) number likhe.
  3. Email: Agar aap email likhna chahe to likh sakte hai.
  4. CNIC issue date: Jis date ko aapka ID card issue kiya gaya hai nadra ki taraf se wo date likhni hai.
  5. I accept tems & condition: Box par click kare.
  6. Niche arrow par click kare.

ID card date of issue id card par check karne ke liye aap example ke liye niche image dekh sakte hai.

Step 4:

Aapke number par aik OTP code ayega number ki tasdeeq ke liye jo khud he tasdeeq ho jaye ga.

Step 5:

Agar mother ka name pocha jaye to select kare aur niche arrow par click kare.

Step 6:

Aapna place ka name select kare, niche arrow par click kare.

Step 7:

Yaha jazz cash account ka password likhna hai, 4 digit ka.

  • Create MPIN/Password: 4 digit password likhe.
  • Confirm MPIN/Password: Jo password pehle likha hai wo yaha bhi likhe.
  • Niche ok par click kare.

Mubarik ho aapka jazz cash account successfully ban gaya hai. Ok par click kare

Ab Aapne jazz cash account me log in karna hai.

Jazz Cash App Me Log in Kaise Kare?

Jazz cash app me log in karna bohat asan hai.

  • Jis number par account banaya tha wo number likhe.
  • Enter MPIN: Yaha password likhe 4 digit ka.
  • LOGIN par click kare.
  • Jazz cash account open ho gaye hai ab jazz cash account use kar sakte hai.

Ye bhi parhe:

Muje umeed hai ke jazz cash account banane ka tarika post aapko acha laga hoga agar han to comment kar ke bataye agar aapko jazz cash account banane me koi masla ah raha hai to aap comment me bataye ham aapki help kare ge.

Piyaron ke Sath Share Karen:

Leave a Comment