Check SIM Owner Name By Mobile Number

Bazz dafa logo ko zarorat hoti hai sim ka owner name pata karne ki lekin afsos ke unhe nahi pata hota ke mobile number ke zariye sim ke malik ka name kaise check karte hai.

Lekin agar aap iska tarika janne ke liye yaha pohanch gaye hai to pher yaha roke kiu ke ham yaha aap ko tammam network ka sim ke sath mobile number check karne ka tarika bataye ge. To bina waqat zaiya kiye shuru karte hai.

check sim owner name by mobile number in pakistan

SIM Owner Name by Mobile Number

Is saal 2021 me mobile number se SIM ke owner ka name check karna aik asan tarika hai. Sirf aap ko tarike ko sahi se follow karna hai jo ham ne niche bataye hai.

Pehle ham Jazz aur Warid SIM ke malik ka name janne ka tarika bataye ge pher Ufone, Zong, aur akhir me Telenor ka.

Jazz SIM Owner Name Check Karne ka Tarika

Jazz sim ke malik ka name pata karne ke liye ham ne aap ko 3 tarike bataye hai aap kisi aik ka istmal kar ke owner name dekh sakte hai.

1: Pehla Tarika

Bikl muft apni Jazz sim ka malik ka name pata karne ke liye *444# dial kare aur reply option me 6 likh kar reply kare pher 1 likh kar send kare Ab aap majooda sim ka owner name iske elawa CNIC number aur MSISDN number mobile scren par dekh sake hai. Ye tarika bilkul muft hai.

2: Dosra Tarika

Sirf Apni Jazz sim istmal karte huwe mobile ke message likhne wale option me jaye aur MNP likh kar 667 par send kare charges 2.46 rupees hon ge.

3: Thessra Tarika

Agar aap ke pass smart phone hai to os me Jazz Work App install kare pher signin karne ke bad home page par sim number ke opper sim ke owner ka name likha huwa aapko nazar aye ga.

Note: Chahe aap Jazz ya Warid Sim istmal kar rahe hai tarika bilkul aik jaisa hai.

Ufone SIM Owner Name Check Karna Sikhe

Apne Ufone sim ki ownership check karne ke liye usi number se khali sms 696 par send kare charges 0.26 paise tax shamil fee sms charge kiye jaye ge. Aur jawab aap ko sim ka number, malik ka name aur CNIC hoga. Jawab masoul 5 minutes ke masoul ho jaye ga.

Ya pher 667 par MNP likh kar sms kare charges 2.46 rupee.

Zong aur Telenor Sim Owner Name Kaise Check Kare

Zong ya Telenor ki SIM ke malik ke name ko check karne ke liye “MNP” likh kar 667 par send kare charges 2.46 rupee hon ge. Ye tarika dono sims par kam karta hai.

Last Words

Ham ne Aap ke sath sim ka owner name check karne ke tarike share kiye hai jo aap ke liye helpful raha hoga. Agar aap ko sim ki ownership check karne me koi problem hoti hai to hame zaror bataye. Agar koi tarika kam nahi raha hoga to ham is article ko update kare ge. Warna aap majooda sim ki helpline par call kar sakte hai.

Piyaron ke Sath Share Karen:

Leave a Comment