All SIM Balance Share Karne ka Tarika 2022

Agar aap chahte hai pakistan me majood all sim balance share karne ka tarika sekhna tu yaha Jazz/Warid, Zong, telenor, Ufone, aur SCOM sim ka balance kisi aur sim me share kaise kiya jata hai is ke barey mukammal maloomat aapko de gen.

All SIM Balance Share Karne ka Tarika

All SIM Balance Share Karne ka Tarika

Pakistan ke tammam network balance share karne ki khidmat dete hai. Wo is liye ke jab kisi user ka balance khatam ho jata hai aur oske pass paise nahi hote ya kisi bhi wajah se sim ko recharge nahi karwa sakta, to is surat me balance share karni ki khidmat pesh kar di gai.

Jab bhi balance khatam ho jaye to apne kisi aziz se balance ki request kar ke sim par balance mangwa sakke. Is ke elawa agar zarorat ho to kisi ko balance bhejh bhi sakke.

Ham aapko alag alag network ke balance share code aur tarka batate howe maloomat bhi denge.

Jazz aur Warid Balance Share Code

Jazz aur Warid ab aik ho gaye hai to inke code bhi aik hai isee liye balance share code bhi aik he hoga.

Warid aur Jazz Balance share code *100# hai. Aap balance ko share karne ke liye dial *100*sim number*raqam# kare.

Example: *100*923000000000*15#

Code*100*NO*raqam#
Charges/Raqam4.77 rupee +tax
1 din me Zeada aur Kam share500 rupee

Jazz aur Warid Balance Share karne ka Tarika

Jazz/Warid sim ka balance share karne ke liye aap milaaye *100*number*raqam# pher call button dabao. pher prosesing ke bad tasdeeq ke liye aap se pocha jaye ga ke Kya aap (diye gaye number) par Rs. amount raqam muntaqil karna chahte hain. Han to 1 ke sath jawab den Cancel karne ke liye 0 likh kar jawab den. Agar aap 1 likh kar jawab den ge to balance diye gaye number par muntaqil ho jaye ga.

Agar aap chahe to “Jazz World App” se bhi balance share kar sakte hai.

Jazz World se balance share karne ke liye pehle Play Store ya App Store se apne device ke mutabik mobile me install kar ke login ho jaye, Pher “Balance Share” option par click kare send balance to me number likhe jis par muntaqil karna hai pher Enter Amount(Rs.) me raqam likh kar “confirm” par click karo.

Tasdeeq ke liye message mile ga bhejne wale ki sim par os me 4 digit code majood hoga code likhe kar bass niche “Share” button par click kar den. balance muntaqil ho jaye ga.

[su_note note_color=”#f7e482″]Note: Balance Share karne ke charges 4.77 rupee +tax/len aur den ke hai. Aur app aik din me len aur den kam se kam 15 rupee se lekar zeada se zeada 500 rupee tak balance share kar sakte hai.[/su_note]

Jazz/Warid SIM Balance Request Karne ka Tarika

Jazz ho ya Warid dono sim par balance khatam hone par asani se kisi aziz ko balance ki request bhejh kar muft balance hasil kar sakta hai. Balance ki request karne ke liye *107# dial kare pher USSD menu khol jaye ga. Jis me Jazz balance share request karne ke liye maylooba number likhne ko kahe ga. Bass number likh de oska jo balance aapke sath share kare ga.

Jaise aap number likh kar send kare ge request matlooba number par pohanch jaye gi.

Telenor Balance Share Code

Telenor balance share code *1*1*number*raqam# hai.

Example: *1*1*923xxxxxxxxx*100#

Code*1*1*number*raqam#
Charges5.92 + tax(len aur den)
len & den majood hai1 din me 10

Telenor Balance Share Karne ka Tarika

Jo log Telenor Prepaid sim istmal karte hai un ke liye Telenor Smart Share ki khidmat pesh karta hai. Jis ko user apni sim par chaalu karne ke bad balance share kar sakta hai.

Telenor ke smart share khidmat ka faida uthane ke liye pehle *710# dial kar ke bilkul muft me khidmat ko activate kare.

Telenor Prepaid number par balance share karne ke liye *1*1*sim number*raqam# likh kar call button dabaye tadeeq ke liye “Reply” option me 1 likh kar send karen. balance muntaqil karne ke charges 5.98 + tax har len aur den ke hai. 20 rupee se 200 rupee ke darmiyan balance muntaqil kiya ja sakta hai. Bas aik din me 10 len den kar sakte hai

Telenor Balance ke Liye Request Karne ka Tarika

Telenor balance ki request apne kisi aziz se karne ke liye SS <space> jisko request karni hai oska number likh kar 6388 par message kare charges 96 paise hon gay.

Jis number say ap balance share ki request karna chah rahe hain. aik din main 3 bar request kar sakte hain. aur 20-200 rupee tak ka balance hasil kar sakte hai aap.

Zong Balance Share Code

Zong balance share code *828# hai aap aik bar code dial kar ke balance share kar sakte hai iske liye dial *828*number*raqam# kare.

Code*828*031Xxxxxxxx*raqam#
Charges4.18 rupee + tax

Zong Balance Share Karne ka Tarika

Zong user jo Zong ki prepaid sim istmal karte hai sabhi user ke liye Yaari load ki service majood hai. Yaari load service ko istmal karne ke aap balance ko share kar sakte hai. Sirf *828# ya *828*031Xxxxxxxx*raqam# milaye. Anay wale message ka 1 se reply karen charges 4.18 +tax lago honge. reply karne bad balance kamyabi ke sath share ho jaye ga.

Aik din me 5 len den( transactions) 10 se 200 rupee tak kar sakte hai. Jiske bad 5 rupee ka balance account me baki hona lazmi hai.

Zong balance ki request Karne ka Tarika

Kisi aziz se Zong balance ki request karne ke liye Zong sim se *829# dial kare. Any wale message me wo number likhe jis se aap balance mangwana chahte hai. bass number likh kar reply kare. Request aapke diye gaye number par bhejh di jaye gi.

Ufone Balance Share Code

Ufone ka balance share code *828*lene wale ka number*raqam# hai.

Code*828*number*raqam#
Charges3.57 rupee +tax

Ufone Balance Share Karne ka Tarika

Ufon sim se balance transfer karne ke liye apne Ufone prepaid number se *828*matloba number*raqam# dial kare pher jawab me wasol honw wale message me 1 likh kar reply kare. charges 3.57 rupee kattoti hone ke bad balance share ho jaye ga.

Aap 20 rupee se 600 rupee tak ka balance aik waqat me share kar sakte hai aur aik din me 4 len den karna mumkin hai.

SCOM Balance Share Code

SCOM sim ka balance transfer karne ke ka code *128*raqam*number# hai.

Code*128*raqam*matloba number#
ChargesN/A

SCOM Balance Share Karne ka Tarika

SCOM prepaid balance share karne ke liye *128*raqam*03xxxxxxxxx# dial kare aap ka balance likhe gaye number par transfer ho jaye ga.

Kya kisi bhi sim ka balance kisi kisi aur network sim me Share ho sakta hai?

Sab se zeada pocha jane wala sawal ye hai ke kisi aik network ki sim se balance ko kisi dosre network ki sim par transfer kiya ja sakta hai. jaise misaal ke tor par.

Telenor se balance share Jazz/Warid, Ufone, Zong, SCOM par nahi kar sakte sirf Telenor se Telenor he balance share kiya ja sakta hai. Asise he tammam network par ye system lagu hai.

Bhejne walaHasil karne wala
TelenorTelenor
Jazz/WaridJazz/Warid
ZongZong
UfoneUfone
SCOMSCOM

Akhri Paragraph

To aap is artical me all sim balance share karne ka tarika sikh chukkay hai. agar aap ko kisi bhi network se mutaliq koi muskil pesh hoti hai to aap comment kar ke hame bata sakte hai. ham aapki help kare ge.

Piyaron ke Sath Share Karen:

Leave a Comment