Whatsapp Kya Hai? Whatsapp ki Puri Maloomat

Aj kal smartphone boaht aam ho gaye hai. is liye internet bhi log apne mobile me istmal karte hai. aur internet me majood social media ka istmal na ho. Ye to kabhi ho nahi sakta.

Jaise agar aap internet istmal karte hai to aap ne kabhi na kabhi Whatsapp ka name to sunna hoga. ho sakta hai aap istmal bhi kar rahe hon. Lekin aapko iske itni maloomat nahi hogi jo aaj ham yaha aapke sath share karne ja rahe hai.

Whatsapp Kya Hai Whatsapp ki puri maoomat

Yaha ham Whatsapp kya hai, iska kya istmal hai, iska account kaise banaya jata hai, aur isme kon kon se features majood hai in sab ke bare main ham aapko bataye ge.

Whatsapp Kya Hai?

Whatsapp aik muft mobile application hai. Jis ki madad se aap logo ko message, audio call, video call, bilkul muft me kar sakte hai. Whatsapp ka istmal karte howe aap kisi ko bhi message ya call kar sakte hai,

Oska ka account whatsapp par hona lazmi hai jisse aap rabta kar rahe hai.

Whatsapp ko istmall karne ke liye aik mobile, data aur account banane ki zarorat hoti hai. jis ke bad aap kisi bhi aziz ko call ya message kar sakte hai.

Whatsapp company ko 2009 me shuru kiya gaya tha aur aaj 2021 me 2 billion log isse istmal kar rahe hai.

Whatsapp Kon c Device me install kar sakte hai?

Whatsapp app sirf niche diye gaye devices ko support karta hai.

  • Android
  • IOS

Whatsapp Mobile me Kaise download kare

Whatsapp App ko apne device ke mutabiq Play Store ya App Store se download kiya jata hai. Jis ka tarika niche bataya gaya hai.

  • Play Sore ya App Store open kare
  • Search box par click kare aur Whatsapp likh kar search kare
  • Whatsapp messenger name ki application ko install button par click kar ke install kare

Bas Whatsaap App download hone ke bad, aapke mobile me install ho jaye gi.

Whatsapp ID Banane ka Tarika

Whatsapp ka account banana bohat asan hai bas aap niche diye gaye steps ko follow kar ke acoount bana sakte hai.

Step 1:

Whatsapp ko open kare apne mobile me.

Step 2

Agar aap terms of service aur privicy policy ko parhna chahe to parh sakte ho. Bas aab Agree and Continue par click kare.

click kare agree and continue

Step 3:

Pehle country select kare pher mobile number likh kar “Next” par click kar den.

country select karo

Step 4:

Jaise aap Next par click kare ge aik poppup khole ga jis me aapko OK par click karna hai.

ok dabao

Step 5:

Aapke likhe gaye number par aik tasdeeq ke liye message aaye ga, ya call bhi a sakti hai. jis me 6digit code hoga wo code yaha likhe.

verify ke liye 6digit code likho

Step 6:

Yaha apni profile banaye aur next kare.

  • Koi bhi tasveer lagaye
  • Apna name likhe
  • Next par click kare
Whatsapp profile banao

Step 7:

Is step me aap ne koch nahi karna bas koch waqat intzaar kare.

Aapka aacount baan kar taiyaar ho jaye ga.

Conclusion

Ham ne aapko Bataya ke Whatapp kya hai aur iske bare me zarori maloomat. Jo ham ummed karte hai aap ke liye faide mand sabit rahi hogi. agar aapko ye maloomat achi algi hoto isse apne aziz ke sath share kar den.

Piyaron ke Sath Share Karen:

Leave a Comment