Jaise ke Pakistan me zeada log is bat ka ilam rakhte hai ke Mobilink Warid ko mila kar Jazz ka naam diya gaya hai aur aur 2020 me Jazz ke istmal karne wale 62 million user hai.
Isi liye Mobilink ya Warid jo alag tarike SIM ki history ko check karne ke liye faraham karte the ab wo sirf aik tarika bana diya gaya jo sirf Jazz faraham kar raha hai.
Aur aj ham aap ko Jazz call SMS internet balance history check karne ka tarika bataye ge. Wo bhi sirf asan zuban me, to shuru karte hai.
Jazz Number ki Tammam History Check Karna
Jazz bhi logo ke liye aik individual sim faraham karta hai is ke elawa Jin logo ke pass koi apni khud ki koi company hai ya koi business hai to un ke liye Jazz aik makhsos business sim faraham karta hai.
Aur isi liye Jazz ne individual user ke liye alag tarika rakha usage history ko check karne ka aur Jazz business sim ki istmal history ko dekhne ka alag tarika rakha.
To ab ham aap ko pehly Jazz individual sim ki istmal ki history check karna pher business sim ki istmal ki tammam history check karne ka tarika bataye ge.
Jazz Individual SIM
Bohat se log sochte hai ke Individual sim kya hoti hai. To ham aapko bata dena chahte hai ke ndividual sim wo hoti hai jo koi aam banda register karwa kar hasil kar sakhe.
Jaise aj ke time me jo log zeada sim wo individual hoti hai. Ab me aap ko individual sim ki history check karne ka tarika bata deta hon.
Check Jazz Individual SIM Usage History
Jazz ki individual sim ki istmal tammam history ko check karna asan kaam hai bas aap ne koch steps ko follow karna hai.
Step 1:
Apne mobile me Jazz world App ko install kar ke login ho jaye.
Step 2:
Log in hone ke bad aap Jazz World ki home page par honge. Bas aap ne More> option par click karna hai.
Step 3:
Ab View History par click kare.
Step 4:
Aik pop up khole ga jisme aap ko OK par click kar dena hai.
Step 5:
App ne jis number se Jazz World me login kiya tha os number par aik OTP 4 digit code sms ke zariye masool hoga. Baas wo code yaha likh kar arrow button press kare.
Step 6:
Ab aap ke samne SIM ki tammam history a jaye gi aap jis chiz ki history dekhna chahte hai dekh sakte hai aur ose save bhi kiya ja sakta hai. Tammam options ki maloomat niche batai gai hai image ke sath.
- All par click kar ke sim ki tammam jaise Balance, Call, SMS, Data, Offers aur Recharge ki history ko check kiya jata hai
- Kisi aik jaise Call, SMS ya data, etc ki history janne ke liye os option par click kare
- Filter apply kar ke 7 din ya yesterday ki history check kar sakte hai
- Tammam history ko save kare
- Lagaye gaye filter ke mutabiq balance kitana recharge kiya gaya hai
- Jitna balance use(istmal) huwa hai
- Balance history check karne ke liye click kare
- Yaha Call, SMS, Data, Offers aur Recharge ki history ko check kar sakte hai
To dosto aap ne dekha ke aik individual sim istmal karte huwe kaise Balance ki usage history ko kaise check aur save kar sakte hai. Agar aap mazeed maloomat hasil karna chahe to 111 par call kare.
Check Jazz business SIM Usage History via Jazz eCare Portal
Agar aap aik business sim istmal kar rahe hai to aap Jazz eCare page par jaye aur login hone ke bad aap asani se apni sim ki history ko check kar sakhe ge.
Mazeed maloomat ke liye Jazz Business heline number 03000 160160 par call kare.
Note: Bohat se log individual sim istmal karte huwe Jazz business world(Jazz eCare) par login karne ki koshish karte hai par unhe “Number not authorized to access company account” ka erorr dekhne ko milta hai. aur wo pareshan ho jate hai. To aap ko pareshan hone ki zarorat nahi kiu ke aap Jazz world app ka istmal kar ke history maloom kar sakte hai aur sirf Jazz eCare par business sim istmal karne wale login kar sakte hai.