Jazz World App Login aur Maloomat

Bohat se Jazz, warid aur Mobilink user Jazz world app ke bare me nahi jante. aur koch iske bare me jante to hai par isme login karne ka tarika nahi jante. aur koch log is App ke features nahi jante jo sabhi Jazz customers ko pata hona chahiye.

Isko istmal karne ke kya faide hai. aur aaj ham aapko Jazz world app kya hai iske kya faide hai aur login kaise hote hai iske elawa isme kon kon se features majood hai jin ki wajah se is App ko istmal karna zarori hai.

Jazz World App login

Jazz World App Kya Hai?

Warid aur Mobilink ab mil kar Jazz me tabdeel ho gaye hai is liye in ke istmal karne wale bhi zeada ho gaye hai jis wajah se Jazz ke wo customers jo prepaid ya postpaid sim istmal karte hai un ke liye Jazz ne aik makhsos Application banai jis ka naam Jazz World hai.

Isme Jazz user apni sim ke account ko manage kar sakta hai.

Jazz World App Me Tammam Features

Jazz ki banai gai application me niche bataye gaye tammam features majood hai jinhe aap apni sahulat ke liye istmal kar sakte hai. Un ke name ye hai.

  • Balance
  • Number
  • Owner name
  • Data, Call aur SMS
  • Recharge
  • 5 number
  • Packages
  • Daily Rewards
  • Make your bundle
  • Support
  • Whats New
  • Jazz Tunes
  • View History
  • Balance Share
  • Islam
  • Games
  • Invite Friends
  • Tax Certificate

Jazz World App Ke Faide

Jazz World ke bohat de faide hai jis me name aap ko uper bataye hai unki wazahat ham yaha kar ke aap ko bataye ge ke is app ke kya faide hai istmal karne ke.

  1. Balance ko bilkul muft me dekh sakte hai
  2. Sim owner name check kar sakte hai
  3. Majooda sim ka number asani se dekha ja sakta hai muft me
  4. Ghar bethe apni sim ko recharge kar sakte hai, Jazz cash, credit/debit card aur Scratch card se
  5. Baki Internet data, SMS aur Minutes muft me check kiya ja sakta hai
  6. Daily Reward diya jata hai jisme 25, 50, 100, 120, 150, 175, 200 MB 1 din se 7 din tak daily basis par MBs di jati hai muft me
  7. Apni Marzi ka Internet, SMS, Call ka package zarorat ke hesab se khud dekh kar lagaya ja sakta hai
  8. Support me aap koi bhi complaint submit kar sakte Jazz walon ko. aur dekh bhi sakte hai
  9. Aur Jazz ka withholding Tax Certificate dowload kar sakte ho
  10. Jazz ki new offers ko dekh sakte ho aur kisi bhi offer ko 1 click me subscribe kar sakte ho
  11. Jazz ki taraf se di gai Tunes apni sim par lagai ja sakti hai
  12. Internet data, call, SMS aur balance ki istmal history ko dekh kar save kar sakte hai
  13. Jazz to Jazz Balance share kar sakte hai
  14. Online game khel sakte hai
  15. Chizo par Discoints diya jata hai
  16. Musuc sun sakte hai
  17. Tasbeeh count kar sakte hai
  18. Total 5 Jazz numbers ko aik bar me add kar sakte ho
  19. Friends ko invite kar sakte hai
  20. Aur bohat koch….

Ab Muje ummed hai aap Jazz World aap ko istmal karna chahte hon ge. agar han to chale ham aapko isko install karne ka aur login karne ka tarika bata dete hai.

Jazz World Application Ko Install Kaise kare

Jazz ki App ko install karne ka bohat asan tarika main aap ke sath share kar raha hu. baas aap tarike ko follow kare.

Agar aap ke pass Android phone ya Iphone hai to android ke liye Play Store aur iphone ke liye App Store open kare aur Jazz World likh kar search kare pher Jazz World aap par click kar ke Install button par click kar ke instal kar le.

Jazz World App Login Karne ka Tarika

Muje ummed hai ke aap ne Jazz world app phone me instal kar li hogi. aur ab main aap ko login karne ka tarika bata deta hon step by step.

Step 1:

Jazz world Application ko open kare.

Step 2:

Ab sirf Fast Login button par click kar den.

Jazz world login fast

Step 3:

Apna Majooda Warid, Mobilik aur Jazz sim ka number likhe.

mobile number likhe

Step 4:

Number par 1 tasdeeqi sms masool hoga jisme 4 digit code majood hoga wo likh kar red arrow par click kare.

number ki tasdeeq kare

Step 5:

Tasdeeq hone par aap Jazz world app me login ho jaye ge aur aapke samne Home screen khol jaye gi.

login ho chuke hai

Aap sirf upper bataye gaye 5 steps ko follow kar ke jazz world me login kar sakte hai bina kisi issue ke.

Jazz World App Manage Code Kon Sa Hai

Jazz World ko prepaid sim se manage karne ke liye *444# dial kare aur postpaid user *777# dial kar sakte hai.

Last Words

To Dosto ham ne aap ke sath Jazz ki Application ke bare me tammam maloomat share karte huwe login karne ka tarika bhi bataya hai. Agar abhi bhi aap ka koi sawal hai to aap hame niche comment section me poch sakte hai.

Piyaron ke Sath Share Karen:

Leave a Comment