Jazz eCare Login ka New Tarika

Jazz sim card istmal karne wale bohat se log Mobilink eCare/Jazz eCare me login karne ki koshish karte hai par wo number likhne ke bad error dekhte hai (Number not autorized to access company account).

Aise me log pareshan ho jate hai aur on ke dimagh me sawal ate hai ke hamare phone me koi issue hai ya Jazz walon ne isse band kar diya hai aise he aur bohat se sawal.

jazz ecare login

To ise liye ham aap ke liye is chiz ki sachai le kar aye hai wo is liye ke aap pareshan na ho aur asalliyat kya hai ye pata chal jaye. To chalo shuru karte hai.

Jazz eCare Login

Jazz eCare jo Jazz Business World ke name se abhi majood hai. Is par sirf Jazz business sim ka istmal karte huwe login kiya jata hai. agar aap aik individual sim istmal kar rahe hai to aap login nahi kar sakhe ge.

Important: To agar aap Business sim hai to Jazz business world par login kar sakte hai aur agar aap individual sim istmal karte hai to pher aap ke pass sirf aik option hai apne account ko manage karne ke liye aur wo Jazz World App hai.

Aur agar aap ka maqsad Jazz sim ki usage history check karna hai to iska tarika ham aap ke sath pehle share kar chuke hai.

Niche bataye gaye tarike ko follow kare aur Warid, Mobilnk ya Jazz business sim ka istmal karte huwe login kare asani ke sath.

  • To visit Jazz Business World kare
  • Business sim ka Number likhe
  • Number ki tasdeeq kare. Diye gaye number par 4 digit pin masool hoga wo likhe aur next kare.
  • Aap ke samne business world portal ka Access dashboard khol jaye ga ab aap tammam history ko check kar sakhe ge aur apne sim ke aacount ko manage kar sakhe ge.

Mazeed maloomat hasil karne ke liye Jazz business helpline number 03000 160160 par call kare.

Jazz World App Se History Check kare

Individual sim ka use karne wale Jazz World App me login kare aur niche diye gaye tarike ko follow kar ke Call, SMS, Internet Data, Balance, Recharge aur Offers ki history check kare.

  1. Application me login ho jaye
  2. Home page par More option click karo
  3. Ab View History par click kare
  4. Number par OTP aye ga likh kar number ki tasdeeq kar len
  5. To ab aap history ko check aur save kar sakhe ge.

Iske elawa Jazz world ko manage karne ke liye prepaid sim par *444# aur postpaid sim par *777# dial kare. koi issue ho to 111 par call kare.

Muje ummed hai ke aap Jazz eCare login hone ka tarika samajh me aya hoga aur ye bhi pata chal gaya hoga ke kaise jazz number ki history ko check kiya jata hai.

Piyaron ke Sath Share Karen:

Leave a Comment