Dosto whatsapp ka name tu apne ka suna hoga. Agar ap whatsapp ke bare main koch nahi jante tu apke liye ye post bohat helpfull rahe gi. agar aap jante hai whatsapp ke bare main tu pher bhi post ko zaror read kare aapko es post se bohat jankari milegi.
Agar aapke ke dimagh main sawal hai ke whatsapp kya hai aur whatsapp download karne ka tarika kya hai aur ese install kaise karte hai in subke ke bare main puri malumat Aj ham es post me jane ge.
Whatsapp Kya Hai?
Whatsapp aik messenger hai. whatsapp company ko 3, May, 2009 me Brian Acton, Jan Koum ne shuru ki thi. Whatsapp ko puri duniya me February 2020 tak 2 billion se zeada log istmal kar rahe hai. aap iske zariye logo ko free message kar sakte hai. whatsapp par ham likh kar, bol kar message kar sakte hai, aur pictures, videos, files, documents sent kar sakte hai. iske elawa ispar ham audio call, video call bhi kar sakte hai.
Whatsapp Download Karne ke liye kya chahiye?
Whatsapp download karne ke liye hamare pass kya kya hona chahiye ye niche bataya gaya hai.
- Mobile phone
- Internet connection
Whatsapp Download Karne ka Tarika
Aj ke time me android phone sab ke pass hai. es liye ham android mobile me whatsapp download karne ka tarika bataye ge. aap niche diye gaye steps ko follow kar ke bohat asani se aapne mobile me whatsapp download kar sakte hai.
Step 1:
Sabse pehle aap apne mobile me play store open kare. agar apne abhi tak apna play store account nahi banaya tu aapka play store account banana lazmi hai. jane play store account banane ka tarika kya hai.
Step 2:
Uper search box me whatsapp likh kar search kare.
Step 3:
Install button par click kare.
Step 4:
Apne wait karna hai Whatsapp download hone tak jab download ho jaye whatsapp apke phone me khud he install ho jaye ga.
Agar whatsapp play store se download nahi ho raha to aap google se download kar sakte hai.
Whatsapp Download Karne ka Tarika(use google)
Whatsapp google se download karne ke liye aap Google.com par jaye. Search box me whatsapp apk download likh kar search kare. aur Pehle number par jo link hai uspar click kare.
Download Now button par click kar ke niche Ok par click kare.
Whatsapp application download hona shuru ho jaye ga kitne time me download hoga ye apke internet speed par hai. aap koch time wait kare. jab aapka whatsapp download ho jaye ga tu apne open par button par click karna hai ese install karne ke liye.
Whatsapp Install Karne ka Tarika Kya hai
- Whatsapp ki download file ko open kare. aur install par click kare.
- Koch time tak whatsapp aapke phone me install ho jaye ga. jab install hojaye tu Open par click kare.
Whatsapp aapke phone me download aur install ho gaya hai.
Muje ummed hai ke aapko whatsapp download aur install karne ka taika ke bare me puri jankari mil gai hogi. agar aapka koi sawal hai tu aap comment kar ke poch sakte hai. Agar aapko ye post achi lagi hai tu apne dosto ke sath share kare.