SIM ko Online Order Karen

Pakistan main majood tammam networks apne customers ko barhane ke liye logo ko online ghar bethe SIM hasil karne ki sahulat faraham kar rahi hai. Jisse koi bhi banda asani se ghar bethe apni marzi se kisi bhi SIM ko online order kar sakta hai.

Agar aap bhi in network ki online sim hasil karne wali service se faida uthana chahte hai to aap ko sim online order karne ke barey main koch maloomat hasil kar leni chahiye.

Wo ish liye, ke bad main aap ko kisi problem ka samna na karna parey.

Pakistan main abhi 5 network majood hai jazz, Zong, Telenor, Ufone, SCOM. Agar aap in main se kisi bhi sim ko ghar bethe hail karna chahte hai tu hamare sath rahe. Ham ne In tammam networks ki sim ko online order karne ka tarika bataya hai.

SIM Ko Online Order Karne ka Asan Tarika

Jaisa ke aap jante hai ke tammam network name, packages, etc ke hisab se alag hai. To pher in SIM ko online order karne ka tarika bhi alag hai.

Is liye ham ne tammam network ki SIM ko online order karna ka alag alag tarika bataya hai.

Jazz SIM Order

Jazz wahad network hai jo pakistan main pehli bar apni service le kar aya tha aur ab is ke 72 million subscribers hai.

Jazz ki sim ko online order karne ke liye niche bataye gaye tarikey par ammal karen.

  1. Apni Jazz SIM se *5299# milayen
  2. Menu main “Buy a new sim” number ke sath jawab den
  3. Ab Apna name likhe aur send karen
  4. Apna mobile number likhe aur send par click karen
  5. Address likhe (Wo address likhe jahan par aap apni sim ko receive kar sakhe)
  6. Bas ab 1 likh kar send karen

Ab aapke ghar ke nazdeeq jo bhi jazz ki franchise hogi, wahan se aik banda aapki SIM ly kar aapke diye huwe address par aye ga aur aapko SIM dega. Is ke koch extra charges honge jo aapko dene honge.

Zong SIM Order

Zong website par diye gaye Zong products ki home delivery k liye k liye abi online order Book karein ya dial karain (*9664#) Home delivery bilkul muft hai.

  • Code dial karne ke bad 1 ke sath jawab den
  • Naam likhe
  • Apna mobile number likhe
  • Shehar ka naam likhe
  • Address likhe
  • Ab confirm karne ke liye 1 likh kar send kar den.

Telenor SIM Order Online

Telenor prepaid normal ya postpaid sim ghar bethe hasil karne ke liye telenor ki official site visit karen. aur get sim feature par click karen. Aur Jo sim order karna chahte ho wo select karo (Zeada log prepaid sim order karte hai) ab aik naya page open hoga jismain aapko tammam malomat deni hogi. Jiske barey main niche bataya gaya hai.

  • Prefix pe click kar ke sim number code select karen
  • Search number box main code likh kar apna number talash kar sakte hai
  • Apni city select karen
  • Ya niche “Select SIM” box main se Apna pasand ka number choose kar len
  • Ab “Next” button par click karen

Ab app ko koch detail deni hogi.

  • Uper cart icon par click karen
  • SIM order ko click kar ke open karen
  • Apna Naam likhe
  • Apna koi hi mobile number likhen
  • Jaha par sim mangwana chahte ho oska address likho
  • Payment method select kar lo
  • Ab “Place Order” par click karen

Apki SIM 72 hours main aapke address pe deliver hogi.

Ya *345*296# code mila kar ap apni pasand ka number hasil kar sakty hai. SIM ke charges SIM ke number pay depend Karen gay.

Ufone SIM Order Online

Aap apni pasand ka number My Ufone App ya Ufone ki official site ke zariya search aur book ker saktay hain ya Ufone number se *0000# dial kijiye. Code dial Karne ke charges Rs. 1 + tax per attempt hain. Reservation ke waqt kindly free delivery select kijiye. “SIM Delivery at Doorstep Service” suspended hai.
Reserve kiya gaya number movement ke 5 dino ke andar kisi bhi Ufone Business Center/Franchise se liya jaa sakta hai.

SCOM SIM Buy

SCO ne abhi tak SCOM SIM ko online order karne ki koi service nahi di. Lehaza SCOM SIM ko hasil karne ke liye SCOM service center ya franchise se visit karen.

Ye bhi Parhe:

Piyaron ke Sath Share Karen:

Leave a Comment