All SIM Number Check Karne ka Tarika 2022 Me

Kai bar aisa hota hai ke log apni sim ko mobile se nikal kar rakh dety hain. Aur aisey main woh apni sim ka number bhol jatey hain ya kisis aur wajah se sim number bhol jatey hain. Phir woh apni sim ka number maloom karna chahtey hain, Lekin afsos ke woh ye nahi jantey kay number check karne ka tarika kya hai.

Tu ise liye ham aapke ke liye sim number check karne ka tarika lay kar aa gaye hain. Taake aap ghar bethay apne mobile ka istmal karte hovay asani se apni sim ka number pata kar sakhen.

All SIM Number Check Karne ka Tarika

All SIM Number Check Karne ka Tarika

Pakistan main majood tammam network Jo log istmal karte hain, Jaise Jazz/Warid, Telenor, Zong, Ufone aur SCOM. Yaha ham aapko in sim ke number check karne ka tarike batayen ge. Jin ka aap istmal kar ke bohat hi asani se number maloom kar shake ge. Jane ID Card/CNIC se number Check karne ka tarika.


Warid/Jazz SIM Number Check Karne ka Tarika

Ham aap ko bata dena chahte hain kay Jazz aur Warid ab mil gaye hain, ab ye aik ho chuke hai. Jo service Jazz pesh karta hai wo Warid sim par bhi kam karti hai. Tu SIM Jazz ho ya Warid number check karne ka tarika aij jaisa ho ga.

Jazz ya Warid sim ka number check karne ke liye jo sabse acha aur zeada istmal hone wala tarika hai, wo code ki maddad se hai.

Jazz SIM number Check Code

Mobilink/Jazz aur Warid ki sim par bikul muft number check karne ke liye *99# dial karen phir call button dabaye. aapko koch is tarha (MSISDN: 923*********) se mobile ki screen par number nazar aaye ga.

Jazz SIM Owner Information Check Online

Jazz sim ke maalik ka name aur CNIC aur sim ki tammam maloomat jaise sim ka Number, Owner Name, CNIC, IMSI number, Activation date, aur connection type check karne ke ke liye bhi Jazz apne users ko service deta hai.

Sirf aapne sim se MNP likh kar 667 par message bheje aapki sim ki tammam maloomat jo oper batai hai wo bazriya SMS aapko mil jaye gi.


Telenor Number Maloom karne ka tarika

Telenor apne users ko free main number check karne ki 3 shahulat deta hai. jis se user kisi bhi shahulat ko istmal kar ke apni Telenor sim ka number bilkul free main dekh sakta hai.

  1. Dialing Code
  2. SMS
  3. Call

Telenor Number Check Code

1: Telenor number check karne ka asan tarika code dial kar ke hai. Sirf aapne *710# dial karna hai os ke bad aapka telenor ka number show ho jaye ga.

2: Apne mobile ke “write message” option me jaye aur Majooda Telenor SIM se “My no” likh kar 7421 par message send kare. Jawab main sim ka number message main majood hoga.

3: Sirf 7421 par call karo aur number SMS ke zariye apna sim Telenor number jasil karo.

CodePrice
Dial *710#Free
Call karo 7421Free
Message kare “My no” likh kar 7421 parFree

Zong Number Maloom Karne ka Tarika

Apne CNIC Pe Tasdeeq Shuda Numbers Janne Ke Liye “v”aur ghair tasdeeq Shuda Numbers Janne Ke Liye Khali SMS Ya Koi Bhi Lafz Likh Ker 7911 Per Muft message Bhejain (SMS apnay CNIC pay tasdeeq Shuda kisi number say bhejain) sms send ho jane ke bad sim par message mile ga jis me Zong SIM numbers majood honge.


Ufone Sim Number Check Karne ka Tarika

Apna Ufone number check karney ky liye, message main “Myno” ya “Mynumber” likh kar 120 par bheje, charges Rs. 2.39 including tax fee SMS laagu hain. number aapko message ke zariye mil jaye ga.

Ufone filhall koi free tarika nahi pesh kar raha jisse Ufone user number bhol jane ke muft me number pata kar sakke.

Jaise koi tarika Ufone dega ham isko update kare ge. agar aap cnic se Ufone sims numbers check hai tu tarika niche bataya gaya hai.

CNIC se Ufone Number check kare

Apne Cnic ka istmal karte hovay Ufone ki tasdeeq aur gair tasdeeq shuda sims ki tammam maloomat check karne ke liye CNIC number likh kar 6001 par muft bheje. jawab me tammam malumat aapko mil jaye gi.


SCOM Sim Number Check Karne ka Tarika

SCOM sim ka number check karne ke liye code dial *999# kare. code dial karne ke bad samne aapko koch is (MSISDN: 923*********) tarha se number dikh jaye ga.


Conclusion

Ham nay puri koshish ki kay aapko woh tarike farham kiye jaien jis se sim number check karna mumkin ho. Agar hamarey bataye tarike main se koi tarika kaam nahi karta hai tu aap hamen comment kar ke bataye ham ise update karen ge. agar aapko hamari koi madad chahiye to comment main apna problem batayen ham aapki madad karney main koshi hogi.

Piyaron ke Sath Share Karen:

4 thoughts on “All SIM Number Check Karne ka Tarika 2022 Me”

Leave a Comment