Bohat se log email ke bare me koch nahi jante. aur kabi kabi internet par search kar rahe hote hai ke hamara email address kya hai.
To ham aapko ye pehle he bata dena chahte hai ke jab tak aap apna email nahi banate tab tak aapka email nahi banta.
Aj ham yaha email address kya hota hai, iska kya istmal hai, kon c compnay email ki service deti hai, aur aap kaise apna khud ka email bana sakte hai iske tammam maloomat aapko milne wali hai.
Email Kya Hota Hai?
Email ka full form Electronic mail hot hai. Ye aapke kisi message ko internet ki duniya me online pohanchane ka kam karte hai. electronic mail ajkal ke jadded waqat me aik jagha se dosri jagha kisi letter ko pohanchane ka sabse asan aur tez tarika hai.
Jaise Purane zamane ke log aik dosre se rabta rakhne ke liye khat(letter) likhte the. aur ose kareebi letter box me daal dete the. Phir postman os letter ko post office le jata, aur jis city address letter par likha hota tha. letter ko os city ke post office le jaya jata. Pher waha se aik aur postman os letter ko lekar ospar likhe address par pohancha deta. Is kam ko bohat din ya mahine bhi lag jate the.
To aise science ne letter ko aik jagha se dosri jagha lekar jane ke ammal ko asan bana diya.
Email Kaise Kam Karta Hai?
Kisi bhi message ko aik jagha se dosri jagha pohanche ke liye Email address ki zarorat hoti hai. Jo sender aur receiver dono ka hona chahiye.
Jab sender koi message receive karne wale ke address par bheje ga tu koch second me message receiver ko mil jaye ga. Internet par koch sites muft main Email address banane ki service dete hai.
Email Address Banane Wali Website
Wese internet par bohat website hai jo email ki khidmat deti hai. lekin ham aapko best muft email service dene wale ke name aur koch maloomat bata dete hai.
Name | Inbox size |
---|---|
Proton Mail | 20 GB |
Outlook | 15 GB |
Gmail | 15 GB |
Yahoo Mail | 5 GB |
1: Proton Mail
Proton mail aik mehfooz email service hai jo CERN ki taraf se pesh ki jati hai. is me account banane ke liye kisi personal maloomat ki zarorat nahi hai, aur isme email bhejne se lekar email receive karne tak sab koch mehfooz hota hai, aur aap isko kisi software ya install kiye bina istmal ka sakte hai.
2: Outlook
Outlook bhi aik achi email ki service deta hai. Isse Microsoft ki taraf se banaya gaya hai.
3: Gmail
Gmaik aik muft email account ki service deta hai Is ka intzam karne wala google hai. Ye email ko bhejne aur wasool karne ki khidmat deta hai.
4: Yahoo mail
Yahoo mail ko america ki company print compny yahoo ne banaya tha aur aj ye top mail services me se aik hai. Ye muft email service farham karti hai aur iska account bana bohat asan hai.
Email Address Banane ka Tarika
Email ID ya adress ko banana boaht asan hai aap upper abati gai kisi bhi website par ja kar in ka account bana le pher aap aapka email account ban jaye ga.
Akhri Alfaz
Ham ne aapko bataya ke email kya hai iski service kon kon deta hai.