Assalm-o-alaikum dosto, aap main se bohat se log apna driving licence banwany ke liye tammam test pass karte hai aur akhir kaar test pass karne ke bad aapko driving licence bana diya jata hai.
Par bohat se dosto aksaar ghalt fehmi ka shekkar ho jate hai, ke hamara licence bana bhi hai ya nahi aur wo os licence ki tasdeeq karna chahte hai par unhe ye nahi pata ke wo aisa kaise kar sakte hai.
Lehaza aj ham aapke sath online drivng licence check karne ka tarika share karne ja rahe hai. Agar aap hamari share ki gai tammam maloomat ko read kar lete hai to aap ko future main kabhi bhi driving licence ko verify karne ka tarika talash karne ki zarorat nahi parhe gi.
Driving Licence ki Maloomat
Pakistan main driving licence ki verification ka pata karna GOVT ne asan bana diya hai. Aisa ham is liye keh rahe hai kiu ke “govt of pakistan” ne traffic police aur logo ki sahulat ke liye ye kadam uthaya hai.
Takke traffic police apni duty main kisi bandy ka driving licence poche aur wo kahe ke mere pass abhi majood nahi tu online sirf koch second me licence ko check kar sakkhe.
Ya koi bhi banda jo licence banwa chuka hai aur wo tasdeeq karne ke liye, ghar bhethe online apni driving licence ko check kar sakkhe.
Driving licence ki verifcation ko check karne ke ham aapko 2 online tarike bata rahe hai, jin ka istmall karte huwe aap 1 click main apne licence ko check kar payen ge.
- Website ke zariye
- Application ke zariye
Jo subse behtreen tarika mana jata hai wo website ke zariye licence ko check karna hai.
Driving Licence ko Check Karne ka Tarika
Agar aap pakistan ke kisi bhi region ki city main driving licence banwate hai to aapko os ko check karne ke liye osi region(Subha) ki website ko visit karne ki zarorat hogi.
Aap jis subhe main rehte hai bas osi par jaye aur Box main CNIC number likhe kar submit karen, agar aap ka licence manzoor kiya gaya hoga tu aapki screen par aapko dikh jaye ga.
Application ke Zariye Driving Licence Check Karen
Sabhe pehly to aapne apne device ke mutabiq Paly Store ya App Store se “Pakistan E-Service” App ko install karen aur pher open karne ke bad Driving option par click kar pher Driving Licence box par click kar den aur ab wo jagha select karen jaha se aapka driving licence bana hai, pher simply CNIC number daal kar Check button par click kar den. Aap ka driving licence aap ke samne ho ga.
Ye bhi Parhe