Pakistan me majood bohat se log Sehat insaf card ke baray me koch nahi jaante, ke ye kya hai aur is ke kya faiday hai aur sehat insaf card ke liye kon ahil (hasil kar sakta) hai. Iske elawa tammam maloomat ham aapko yaha bataye hai.
To agar aap sehat insaf card ke baray me details janna chahte hai tu hamare sath banne rahe.

Sehat Sahulat Program & Insaf Card Kya Hai?
Sehat sahulat program ko SSP bhi kaha jata hai ye govt of pakistan ki taraf se di gai sahulat hai. Jo mulk bhar gareeb logo ke liye medical health care ke liye koch khidmat deti hai, Sehat insaf card dene ke bad.
jis se gareeb log bilkul muft me apni bimaroyon ka ilaj karwa sakke.
Sehat Sahulat Program Me Kon Shamil Hai?
Sehat sahulat program me wo tammam log log shamil hai. Jo benazeer incom sport program ke hone walay survey me kiya gaya tha. aur baki log apni ahiliyat check karne ke liye niche bataye gaye tarike ko follow kare.
Sehat Insaf Card Check Karne ka Tarika
Har koi sehat insaf card ke kabil nahi hota. Tu isee liye online aur sms se ahiliyat (eligibility) check karna asan bana diya gaya hai.
- Apni ahiliyat ko check karne ke liye shanakhti card number likh kar 8500 par bheje, koch secound bad Jawab aye ga jis me aapko ahil hai ya nahi ye bataya gaya hoga.
- Aap sehat sahulat program ki site par ja kar ID card (CNIC) number likh kar ahiliyat dekh sakte hai.
Sehat Insaf/Qaumi Sehat Card Kaha se Le?
Sehat insaf card ko Qaumi sehat card bhi kaha jata hai. Agar aapko SSP ke liye ahil hai to check kar lene ke bad aap Sehat insaf card lene ke liye aap apne zilla me card dene wale markaaz se sehat card hasil kar sakte hai.
Important: Card is surat diya jaye ga jab aapke pass aasal shanakhti card majood ho. To jab bhi sehat card lene ke liye jaye tu shanakhti card majood hona lazmi hai.
Hospital Kon Kon Se Hai [list]
Bohat se logo ka sawal hota hai ke wo kon se hospital hai jaha par sehat card istmal kar sakte hai. To un sabhi hostipat ki list iheath site par mile gi.
Hospital Me Jaye to Kya Le kar Jaye?
Jab aap sehat sahulat program ki taraf se tiyar kiye hospital me jaye to niche bataye gaye chize ly kar jaye.
- Seaht Insaf Card/Qaumi Sehat Card
- Asal Shannakhti Card (CNIC)
- B-From (Bacho ke ilaj ki surat me)
Sehat Card ko Kaise Istmal Karte Hai?
Mutasra hospital tak pohanchne ke bad mazeed support ke liye SSP ke representative counter par rabta kare. Wo aapki Sehat insaf card/Qaumi sehat card ki tasdeeq kare ga, aur elaaj ke liye (mutalik) hospital ke mehkma me aapki rehanmai kare ga.
Aur mareez ko hospital me dakhal karne ke bad elaaj ki kimat sehat insaf card/Qaumi sehat card se li jaye gi.
[su_note note_color=”#fcebb1″]Note: elaaj aur sahulat sirf is surat mile gi jab mareez ko hospital me daakhle ki zarorat ho.[/su_note]
Sehat Sahulat Helpline Number
Kisi bhi sawal ya masle ki surat me SSP ki helpline numer 0800-09009 par call kare. aap ki behtreen rehnamai ki jaye gi.
Akhri Alfaaz
Sehat insaf program govt of pakistan ki taraf se banaya gaya addara hai. Jaha gareeb logo ke liye bilkul muft elaaj karne ka moqa de rahi hai. To un logo ki madadd kare jo gareeb hai aur unhe sehat insaf card ke bare me bataye ya pher is post ko share kare, is liye ke wo bhi ye insaf card ke bare me detail hasil kar sakke.
Ye bhi parhe. Apne Name ki RingTone Banane ka Tarika