Aksaar aisa hota hai ke hamare pass bijli ka bill naho pohanchta aur isi wajah se bill adda bhi nahi hota. isi case ko nazar nashine karte huwe bijli ke bill ko online check karne ka tarika faraham kar diya gaya, takke log asani se ghar bhethe internet se online bill check kar sakhe.
Agar aap Apne bijli ka bill check karne ke bare main koi tarika talash kar rahe hai tu pher yaha aap ko bijli yani electricity ka duplicate bill check karne ka tarika share karen ge jis se aap ghar bhethe online check kar sakhe ge.
Bijli ka Bill Check Karne ka Tarika
Online light ka bill chack karna aik asan ammal hai jo har banda koch second main bijli ka bill check kar sakhe ga.
Lekin koch aisi chize hai jo aap ko dehan main rakhne ki zarorat hai.
Bill check karne wali site Visit karen aur apni city ke mutabiq website par open karen. example ke liye niche city aur company name majood hai.
City Name | Company Name |
---|---|
Faisalabad | FESCO |
Gujranwala | GEPCO |
Hyderabad | HESCO |
Islamabad | IESCO |
Sukur | SEPCO |
Karachi | KESC |
Lahore | LESCO |
Multan | MEPCO |
Peshawar | PESCO |
Quetta | QESCO |
Tribal | TESCO |
Apni city ke mutabiq site ko khol lene ke bad apne purane bill par majood Reference no ko box main likh kar search button par click kare bill aapke samne a jaye ga agar aap chahy tu osy save bhi kar sakte hai.
Also Read..