Tax Certificate Ufone, Zong, Telenor aur Jazz/Warid ka

Agar aap Jazz/Warid, Ufone, Zong, aur Telenor, ka tax certificate hasil karna chahte hai, to yaha aapko yehi bataye gaya hai.

Is se pehle ke ham aapko tax certificate mobile me download karne ka tarika bataye pehle aapko bata dete hai ke Tax certificate hota kya hai. pher aapko bataye ge kaise aap certificate ko download kar sakte hai.

Tax Certificate Ufone, Zong, Telenor aur Jazz/Warid ka

Tax Certificate Kya hai?

Aap ke balance recharge karne par jo tax charge kiya jata hai osee withholding tax kaha jata hai. Ye tax government ki taraf lagaya jata hai. Aapki recharge amount aur os par charged tax ki maloomat certificate me majood hoti hai jisse tax certificate kaha jata hai.

Ufone Tax Certificate

Ufone withholding tax certificate ko download karna bohat asan hai aap boaht asan tarike se certificate ko download karle ge bas niche giye gaye step ko follow kare.

Step 1:

Pehle apne mobile me Play Store ya App Store se My Ufone App install kare.

Step 2:

App ko open kare aur naya account bana kar sign in kare.

Step 3:

Sign In hone ke bad My Ufone App ki home screen par Tax certificate feature par click kare.

Step 4:

Pher jis (churuh) date se aapko certificate cahhiye wo month aur year select kare. Is ke bad akhri month aur year select karne ke bad apna Email address likhe jispar aap certificate mangwana chahte hai aur pher submit par click kare.

Jaise aap submit button par click kare ge aapka zong ka withholding tax certificate diye gaye email par aapko mil jaye ga PDF file me.


Zong Tax Certificate

Zong withholding tax certificate hasil karne ke liye niche bataye gaye tarike par ammal kare.

Step 1:

My Zong App ko apne mobile me inastall kare.

Step 2:

Naya account bana kar ya Agar aap ka pehle se account majood hai tu sign in ho jaye.

Step 3:

Jab Sign in hojaye ge to aap My Zong ki home screen par pohanch jaye ge. bass aapko koch option nazar aye ge os me aapne Tax Certificate par click karna hai.

Step 4:

Tax certificate par click karne ke bad aapke samne aik page khole ga jis me 2 box honge aapne pehle box me start date likhni hai aur dosre box me end date pher niche diya gaya “Save Tax Certificate” button par click kar den. certificate aapke mobile me save ho jaye ga.


Jazz aur Warid Tax Certificate

Warid ab Jazz me tabdil ho gaya hai. isi liye Jazz aur Warid ab aik hai. In ka Tax certificate aap 2 asan tariko se download kar sakte hai.

  1. Whatsapp istmal kar ke
  2. Jazz World App istmal kar ke

Ham aapko 2no tarike bata dete hai aap kisi bhi tarike ka istmal kar ke certificate ko save kar sakte hai.

Jazz Tax certificate using Whatsapp

Jazz wahaad network hai jo Whatsapp ke zariye se user ko withholding tax certificate feed karne ki sahulat deta hai. aap niche bataye gaye tarike se certificate download kar sakte hai jazz ka.

  • Pehle Whatsapp number 03003008000 ko apne mobile me save kare
  • Whatsapp khole aur “Hi” likh kar message kare
  • Reply me aapko koch options mile ge jiske piche number bhi likha hoga bass “Tax Certificate” wale number ko likh kar aap send kar den
  • Aapka Jazz aur Warid sim ka tax certificate PDF file me aapko masool ho jaye ga.

Jazz SIM Tax Certificate using Jazz World App

Jazz ka withholding tax certificate feed karne ka dosra tarka Jazz world app hai is liye pehly “Jazz World App” ko mobile me install kare. Pher App ko open kar le open karne ke bad Fast Login ke button par click kar ke login ho jaye.

Log in hone ke bad aap jazz world app ke andar majood honge.

  1. Ab aap uper 3line par click kare
  2. Support par click kare
  3. Pher akhir me Tax Certificate option par click kare
  4. Bass ab Sall(Year) select kar ke niche “Save” button par click karo

Itna kar lene ke bad aapka certificate aapke mobile me feed ho jaye ga.


Telenor Tax CertifiCate

Telenor ka withholding Tax certificate aap diye gaye tarike se asani se hasil kar sakte hai.

Telenor ki website visit kare live chat option par click kar ke apna name aur Mobile Number likh kar “Start Chat” par click kare.

Koch waqat intzaar kare jab aapki request kisi numainde ke sath connact ho jaye to unhe message kare ” Main apna telenor tax certificate lena cahata hu” aur niche bataye gaye koch maloomat bhi unhe bataye.

  • Number jis ka tax certificate hasil karna hai
  • Shanakhti card ki dono taraf ki tasveer
  • Saal(year) example (2019 se 2020)
  • Email address

Tammam chize unhe send kar den wo aapke maloomat ki tasdeeq karne ke bad Telenor ka withholding tax certificate aapke diye gaye email address par mail kar dege.

Ye bhi Parhe. PTCL tax certificate download karna ka tarika


Muje ummed hai di gai tammam maloomat aapke hai liye faide mannd sahbit hogi. Ham ne apni taraf se aapke liye sahi maloomat share ki hai. Agar abhi bhi koi issue hota hai Tax certificate hasil karne me to aap hame comment section me bata sakte hai. ham pori koshish kare ge aapke issue ko solve karne ki.

Piyaron ke Sath Share Karen:

Leave a Comment