Youtube Channel Banane Ka Tarika 2022 Me

Kya aap Youtube channel banane chahte hai. Tu aap ko Youtube channel banane ka tarika jaan lena chahiye. Aur is article main ham Youtube channel banane ke barey main maloomat share karen ge. Lekin Channel banane se pehle aapko ye pata hona zaori hai ke Youtube kya hai.

YouTube Kya Hai?

Youtube video share karne wali website hai jis ko 2005 main launch kiya gaya tha aur ab Youtube aik month 2.29 billion log istmal karte hai. Ye ab tak ka pehle number par video sharing website hai.

Youtube par aap bilkul muft videos dekh sakte hai. Aagar aap Youtube par channel bana len tu kisi bhi video ko like/dislike, comment ya kisi bhi channel ko subscribe kar sakte ho. Aur agar aap bhi kisi video ko Youtube par upload karna chahte hai tu channel banane ke bad aap asani se video ko Youtube par upload kar sakte hai.

Youtube Channel Banane Ka Tarika

IMPORTANT: Youtube channel banane se pehle aapko koch chizy soch leni chahiye. Jaise channel ki kis barey hoga, channel ka naam kya rakhna hai.

Youtube Channel Banane Ka Tarika

Youtube channel banane se ke liye aap ke pass aik gmail account hona zarori hai. Agar aapke pass gmail yani google account nahi hai tu pehle aap ko gmail account banane ki zarorat hai.

Gmail account banane ke bad niche bataye gaye steps ko follow karen.

Step 1:

Youtube ki official website Youtube.com par jaye.

Step 2:

Apna gmail account login karen phir top main right side main apne gmail account icon pa click karen aur bad main Create a Channel par click kar den.

click create a channel

Step 3:

Create a channel par click karne ke bad ab aapki ab aacount create karne ka page open ho jaye ga. Jis main 1 box bana honge jis ke andar gmail account ka default naam show ho raha hoga (agar aap naam ko change karna chahte hai tu koi aur naam likh den) aur ab bas Create Channel button par click kar den.

naam likhen aur create channel par click karen

Important: Channel ka naam unique rakhe agar aap videos upload karna chahte hai.

Ab aapka channel kamyabi se ban chuka hai. agar aap youtube channel par videos upload karna chahte hai tu aapko apney channel ki basic setting kar leni chahiye.

YouTube Channel ki Basic Setting Karne ka Tarika

Youtube channel ki basic setting kar ke aap apne channel ke barey main maloomat den sakte hai ke aapka channel ki barey main hai.

Youtube channel ki basic setting karne ke liye Customaize Channel par click karen.

customaize channel

AB Branding option par click karen

  • Picture: Pehle Upload option par click kar ke logo upload karen
  • Banner image: Banner image upload karen
  • Aur ab sirf Publish button par click karen
logo upload karen

Ab basic Info option par click kar ke niche box main apne channel ke barey main puri maloomat likhe (maximum 1000 words length) aur pher Publish button par click kar den.

channel basic info

Ab aap ke Youtube channel ki setting bhi ho chuki hai ab agar aap videos upload karne ke liye apne channel ke hame page par ja kar niche Upload Video button par click kar ke videos ko upload kar sakte hai.

Is tarha aap apne Youtube channel ko banane ke bad basic settings kar ke video upload kar sakte hai. Agar aap ko ye jankari achi lagi ho tu isko dosron ke sath bhi share kar den. Agar aap ko Youtube channel banane main koi mushkil pessh ho rani hai. Tu hame niche comment main apni muskil bataye ham aapki madadd karen ge.

Piyaron ke Sath Share Karen:

Leave a Comment