Warid Balance Share Karne Ka Tarika

Agar aap abhi Warid Sim istmal kar Rahe hai. To aap ko yeh zaror pata hona chahiye ke Warid aab Jazz company ki Sim hai. Jazz ka purana naam Mobilink tha aur jab Mobilink ne Warid ko khareeda to naam change kar ke Jazz rakh diya gaya. Ab Mobilink aur Warid ki Sims ka naam sirf Jazz hai.

Ab koch log sochtey hai ke, kya ham Jazz ki taraf se di gai service ko Warid sim par istmal kar saktey hai ya nahi, Is ka jawab hai Haan. Bilkul aap jo Warid ki Sim istmal kar rahe hai woh pehle se hi Jazz ki service istmal kar rahi hai.

Lehaza aap Jazz ka koi bhi package ya service apni Warid Sim par istmal kar sakte hai.

Agar aap Warid se Warid ya Warid se Jazz sim par balance ko transfer karna chahte hai to aap ko yeh post isi barey main madad karey ga. Muje lagta hai ke aap Hamari is post ko parhne ke bad koch seconds main Warid balance ko share kar sakhey ge. Aap aap Warid balance ko share karne ka tarika janney ke barey main janna chahte hai to is post ke liye koch waqat nikalen.

Warid Balance Share Karne Ka Tarika

Warid Balance Share Karne Ka Tarika

Warid to Warid Balance karne ka tarika mushkil nahi hai. Balance ko share karne ke liye aap ke pass smartphone ya keypad mobile hona chahiye. Ham aap ko Warid balance transfer code aur balance ko online share karne ka tarika bataiye ge. Aap dono main se kisi bhi tarike par ammal kar ke Warid balance ko kisi dosri Warid SIM card main transfer kar sakhe ge.

Pehle ham aap ko smarphone ka istmal karte huwe balance ko share karne ka tarika bataiye ge phir keypad aur smartphone dono main balance share kaise kiya jata hai yeh bataiye ge.

Warid Balance Share Without Code

Warid balance ko Warid ya Jazz SIM main share karne ke liye tarika kar par ammal karen.

  • Sab se pehle Jazz World App ko Install karen phir login karen Malommat ke liye click karen.
  • Login Hone ke baad Niche “My Jazz” par click karen.
  • Ab “Balance Share” Features par click karen.
    • Send Balance From: Yaha apna khud ka number select karen.
    • Send Balance to: Jis number par balance Transfer kar rahe hai woh number yahan likhen.
    • Enter Amount: Jitni raqam send karni hai woh raqam likhen.
    • Ab Confirm button par click kar den.
  • Balance Send karne waley ke number par 4-digit pin SMS ke zariye miley ga, woh pin code likh kar Share button press karen.
warid balance share online

Aap ki SIM ka balance likhi gai raqam aap ke likhe gaye number par transfer ho chuka hai.


Ye Bhi Dekhen:-


Warid Balance Share in Toch & Keypad mobile

Agar aap ke pass Keypad mobile hai to agar os main Warid ki SIM istmal kar rahe hai aur ab apni Warid SIM ka balance apne kisi Aziz ko transfer karna chahte hai to niche bataiye gaye tarike par ammal karen.

  • Dial karen *100*number*raqam# (e.g *100*0326XXXXXXX*50#)
  • Dial karne ke bad call button dabaiyen.
  • Ab tasdeeq ke Han ke number ke sath jawab den.
  • Bas ho gaya aap ka balance transfer.

Warid Balance Share Code

Warid to warid ya Warid se Jazz sim par balance share karne ke liye phone ke dialer main *100*number likhen*raqam# likh kar call button dabaiye menu kholne par 1 ke sath jawab den.

Warid Balance share code

Warid Balance Share Request

Agar aap ke pass balance khatam ho chuka hai aur aap Dost, family member ya kisi janney waley se Warid ka balance bilkul muft mangwana chahtey hai to aap ko kisi dost ya janney waley ko request bhejni hogi. Takkey woh aap ko apni SIM ka transfer kar sakhe. Request bhejne ka tarika niche bataya gaya hai.

  • Mobile ka dialer kholen aur *107# dial karen.
  • Ab mobile ki screen par aik menu khol jaiye ga.
  • Bas yahan aap ko os ka number likhna hai jis se aap balance send karne ki request kar rahey hai.
  • Matlooba number likhney ke bad Send kar den.
  • Aap ki balance share ki request diye gaiye number par message ki surat main pohanch jaiye gi. Aab woh chahe to aap ke number par balance transfer kar sakta hai.

Balance share ki request kana muft hai. Charges balance transfer karney waley ke account se katoti kiye jaiye ge.

Terms & Conditions

  • Kam se kam 15 aur zeada se zeada 500 tak balance share kar saktey hain.
  • Balance Share karne waley aur Balance Receive karney wale ki prepaid SIM honi chahiye.
  • Balance receive karne wala aik din main 5 bar balance receive kar sakta hai.
  • Balance share karne par har bar Rs. 5+tax lagey ga.

Last Words

Mujhe lagta hai ke aap ne kamyabi se Warid ya Jazz number par balance transfer kar liya hoga. Hamari is post ko parhney ke bad aap ko Warid balance share karne ka tarika pata chal gaya ho ga. Agar aap mazeed maloomat hasil karna chahte hai to is page par hai.

Agar aap ko Warid balance ko transfer karney main koi problem hoti hai to hamey comment main bataiye.

Piyaron ke Sath Share Karen:

Leave a Comment