Ufone Blaze | Blaze Wifi Device Price & Packages

Ufone ki janib se Ufone 4G Blaze device offer ki ja rahi hai jis ke charges sirf Rs. 3,700 hain. Ufone 4G Blaze device 4G enabled, battery powered, pocket friendly Wi-Fi Hotspot hai jo ke smartphones, tablets, laptops aur smart TVs wagera se connect hoti hai. Mazeed details ke liye niche di gai maloomat check karen.

ufone-blaze-device-price-packages

Ufone Blaze Price

Ufone 4G Blaze device ki qeemat 3700 ropay rakhi gaie hai. Jo aap ko sirf aik baar dene honge. Blaze device ko aap Ufone 4G service center, Franchise se Rs. 3700 main hasil kar sakte hain. Is ke elawa aap apne qareebi retailer ya joint shops se bhi Blaze 4G Device khareed sakte hai.

Jab aap 4G blaze hasil karte hain to aap ko alternate number ki request ki jati hai us ko master number kehte hain. Asan zuban main kahen to Jo aap ka raabta number hai yaani Jo mobile number aap istmal kar rahe hai wo “Master Number” kehlata hai. Agar master number Ufone ka hai, to aap ko Mobile broadband (MBB) bundles ko subscribe karne, Bundles ka istmal check karne ya USSD code *3045# ke zariye apna Ufone MBB number check karne aur remaining resources check karne ka ezafi faida hasil hota hai. Dosray numberon ki sorat main, Master number ka istmal exciting offers aur customer ko important notifications pohanchane ke liye istmal kiya jata hai. Agar kabhi master numer change karwane ki zarorat ho to aap master number change karwa sakte hain.

About Ufone Blaze 4G Device

Ufone ne sirf apne customers ke liye 1 he wifi MBB device de rakhi hai. Mere kheyal main ye device tareef ke qabil ho sakti hai. Ufone 4G Blaze ko mulk bhar main 3G aur 4G coverage areas main istmal kiya ja sakta hai.

ufone-blaze-device
Ufone Blaze 4G Device

Ufone Blaze ke tammam Features niche share kiye gaiye hain.

Features

  • Ye aik Portable Device jise aap asani se apni Pocket main bhi rakh sakte hain.
  • Kiu ke ye aik Portable Device hai ti is liye Ise kahin bhi le kar jaya ja sakta hai.
  • 3G/4G ko support karti hai.
  • Battery se chale wali Wifi Hostpot.
  • Aik waqat main 10 Wifi se chalne wale gadgets connect ho sakte hain (Smartphones, Smart TV’s, Laptops, Gaming Consoles, etc)
  • Battery 4 ghantay musalsal istmal ke sath sath 250 ghantay standby ko Support karti hai.
  • Battery Capacity 2000 MAh hai.
  • Plug And Play hai Koi Installation nahi.
  • WPS Support karta hai. Pin agar bhol jao to Push & Connect ke zariye connect ho sakte ho.
  • 1 Year Warranty ke sath.
  • 4 LED light majood hain Jo Battery, Wifi, SMS aur Network ki Nashan dahi karti hain.

Features Not Available

  • 5G ko support nahi karti.

Blaze Packages

Ufone ne apni device launch ki jis ka naam Blaze rakha gaya hai. Is Ufone Blaze 4G device ke liye Ufone ne 3 shandaar internet packages offer kar rakhen hain. 1st 120GB 2nd 200GB 3rd 300GB ye 3no package kafi munasib qimaat ke sath diye ja rahe hain. Aap niche in packages ko dekh sakte hain.

Package NameDetailsPrice
UFone Blaze 120 GB
  • Internet Data 120 GB
  • Validity 30 Days
Rs. 1999
Ufone Blaze 200 GB
  • Internet Data 200 GB
  • Validity 30 Days
Rs. 2499
Ufone Blaze 300 GB
  • Internet Data 300 GB
  • Validity 30 Days
Rs. 2999

Apne pasand ke package ko active karne ke liye Ufone retailer, franchise visit karen ya ghar bethe package ko subscribe karne ke liye Code ka istmal karen.

Package NameSUB-Code
Ufone Blaze 120GB*7077#
Ufone Blaze 200GB*7078#
Ufone Blaze 300GB*7079#

Terms & Conditions

  • Koi Hidden Charges nahi hain. Package ke tariff main tammam taxes shamil hain.
  • Bundle ka 50% data volume 1 AM and 1 PM main istmal kiya ja sakta hai.
  • Data volume khatam hone ke baad user package ko dobara subscribe kar sakta hai.
  • Read More about Ufone Blaze on Official Site.
Piyaron ke Sath Share Karen:

Leave a Comment