Telenor ka sim card istmal karne wale logon ke sath Aksar is tarha hota hai, Ke mobile main majooda SIM main balance khatam ho jata hai aur aap ko pata bhi nahi hota. Aur zarorat parhne par jab aap apne balance ko istmal karna chahte hai tu aap ko bataya jata hai ke aapki Sim ka balance khatam ho chuka hai. Tu is surat haal main aap mayoos ho jaten honge aur aap sochte honge kaash koi Aisa tarika hota jisse aik SIM se Dosri Sim main balance transfer kiya jata ho.
Ab aap ki soch sach main badal chuki hai kiu ke Telenor le kar aya hai Smart Share ki sahulat, Ye sahulat Telenor ke customers ko balance aik SIM se Dosri SIM main muntqil kare ki ijazat deta hai.

Telenor ne Balance transfer karne wali sahulat ka naam Smart Share rakha hai. Taake zeada se zeada log Telenor ki Smart Share sahulat ko zehan main rakh sakhen. Jis tarha Telenor compny ne Balance Share service ka naam Smart Share isi tarha balance ko share karne ka code bhi asan he rakha. Smart Share service ko PayG bhi kaha jata hai.
Telenor Balance Share Karne Ka Tarike
Jiasa ke main ne upper pehle he is bat ka zikkar kar chukka hun ke Telenor ka balance ko dosri telenor SIM main muntqil karna asan hai. Aur ab main aap ke sath wo tammam tarike share karun ga. Jis main aap kisi aik tarike ka Istmal kar ke apne Telenor SIM balance ko Telenor ki SIM main transfer sakhte hai.
Telenor balance ko aap Telenor se Jazz, Warid, Zong, Ufone ke number par transfer kar sakhte hai lekin Aisa karne ke liye ye zarori hai ke wo dosre network (Jazz, Warid, Ufone, Zong) ka number Telenor ke network main tabdeel kiya gaya ho.
Ab bat a jati hai ke Telenor balance ko share karne ka kya tarika hai. Daraasal Telenor ke balance ko muntqil karne ke 3 tarike hai jo ham ne niche bataye hai.
- Telenor Balance Share Code *1*1… ke zariye.
- Application ke zariye
- SMS ke zariye balance bhejen
Telenor Balance Transfer Code
Smart Share Service lagane ya khatam kerne ke liye *710# Code milaen. *710# milane ke koi charges nahi. Kisi bhi Telenor Prepaid number par balance share karne ke liye *1*1*923xxxxxxxxx*raqam# likh kar OK karen. Pher tasdiq ke liye “Reply” ke option main 1 likh kar send karen. Raqam bhejnay ke charges 5.98 (inclusive of tax) per transsaction hain. Rs 20. se Rs. 200 ke darmiyan balance share kar sakte hain.
- Apne mobile ke dial pad khole
- Ab *1*1*number*raqam# aur Ok dabaye
- Tasqid ke liye 1 likh kar jawab den
Ye bhi Parhe:
- SIM Balance Share Karne ka Tarika
- Telenor Number Check Karne ka tarika
- Easypaisa Account Banane ka Tarika
Balance Share Via App
Telenor ki official App har Telenor ke customers ke liye mafeed rahi hai. Lekin ab aik baar phir Telenor App main Telenor ne Balance share karne ki service de kar apne customers ke liye asani faraham ki hai.
Telenor App ka istmal kar ke aap sirf koch seconds main Balance ko share kar sakte hai. Bas aapko hamare bataye gaye tarike par ammal karna hoga.
- Apne mobile main My Telenor App install karen (Agar App pehle se install hai Tu isse Open karen)
- Apne Telenor se Login ho jaye.
- Ab aap Home screen par Share Balance icon par click karen.
- Balance receive karne wale ka number likhen.
- Ab raqam likhen.
- Aur ab Proceed Button par click kar den. Apka balance share ho jaye ga.

SMS Ke Zariye Balance Muntqil Karen
Smart share ke request kerne ke liye Smart Share number likh kar 6388 pe SMS karen. Aur Receiver paise bhejne ke liye Y OTP amount likh ker reply kare ga. SMS ki keemat 96 paisa hai.
Conclusion
Main ummed karta hun ke aap is post ko parhne ke bad Telenor ka balance share karne main kamyab rahen honge. Agar aap ko Telenor ke Smart Share yani Balance share karne main koi mushkil ho rahi hai tu niche comment section aap ke liye hamesha kholla hai. Ham aap ki maddad karne ki pori koshish karen ge.