Telecommunication Companies in Pakistan

Ab pakistan main mobile phone istmal karne walon ki taddad main ezafa ho raha. Aur isi wajah se pakistan main majood telecommunication (telecom) companies ke istmal karne walon main bhi ezafa hota chala ja raha hai. Pakistan main majood tammam telecom companies apne naye aur purane customers ko sahulat deney ki koshish karti hai.

Lekin koch companies aice hai. Jo ab pakistan main telecom industry main naam bana chuki hai. Aur aj ham unhi companies ke naam aur maloomat denge.

Telecommunication Companies in Pakistan

Pakistan main tammam mobile operator companies Pakistan Telecommunication Authority ke super vision main kam karti hai aur pakistan main sim card istmal karne walon ki taddad 184.70 million hai.

List Of Telecommunication Companies in Pakistan

RankOperator
1Jazz
2Telenor
3Zong
4Ufone
5SCOM

Jazz: Iski founded date 1994 hai aur Jazz ka headquarters islamabad main hai aur is company ke CEO Aamir Hafeez Ibrahim hai. aur iske 72 million subscribers hai jin main se 34 million 4G subscribers hai.

Jazz pehla naam Mobilink tha lekin bad main jab Mobilink ne Warid ko khareda tu iska naam change kar ke Jazz rakh diya gaya.

Telenor: Telenor ko 2004 main banaya gaya tha aur ab Telenor apni service ki wajah se 47 milion subscriber ban chukhe hai. Is company ke Irfan Wahab Khan CEO hai. Iska headquarters islamabad main majood hai.

Zong: Zong company owner china mobile hai. Zong CMPAK ke naam se bhi apni pehchan rakhta hai. Zong ke 42 million sim istmal karne wale hai. Zong ko 2008 main banaya gaya tha aur iska bhi headquaters islamabad pakistan main banaya gaya hai.

Ufone: Ufone pakistan main 4th number par ata hai kiu ke iske 22 million subscribers hai isko junuary 29. 2001 ko banaya gaya tha.

SCO: SCO ki founded date july 1976 hai. iska brand name SCOM hai. Ye Azad Jammu & Kashmir aur Gilgit Baltishtan ke rehne wale logo ko telecom ki service dene main kamyab raha hai aur ab SCOM ke AJK aur GB main 1.7 million istmal karne walen hai.

Piyaron ke Sath Share Karen:

Leave a Comment