[All] SCOM Super Cards Details 2022

Special Communication Organization (SCO) ye aam tor par SCOM ke naam se janna jata hai. SCOM ne apney prepaid customers ke liye Super cards ki sahulat nikaal di hai. SCOM ki taraf se faraham kiye gaiye Cards ki taddad 2 hai.

Jis main Pehle card ka naam Mini Card aur dosrey ka naam Super card gold hai. Ye dono cards har lehaaz se aik dosrey se mukhtlif hai. Mini aur Super Card gold main customers ki zarorat ke mutabiq din, price aur resources rakhey gaiye hain.

SCOM Super Cards

SCOM Super Cards

Package NameResourcesPrice
SCOM Mini Card
  • On-net Mins 800
  • Off-net Mins 70
  • Local SMS 2000
  • Data 1000 MB
  • Validity 15 Days
Rs. 300
SCOM Super Card Gold
  • On-net Mins 3000
  • Off-net Mins 200
  • Local SMS 5000
  • Data 5000 MB
  • Free Facebook
  • Validity 30 Days
Rs. 550

Mazeed Packages Dekhen:-


SCOM Mini Card

Agar aap ka istmal 15 din ke hai to SCOM ka Mini card aap ke liye aik behtreen package ho sakta hai. Is card main 800 on-net minutes, 70 off-net minutes, 2000 SMS jinhen tammam network par bhejh sakte hai aur mazeed 1000 MB internet data 15 din ke liye sirf Rs. 300 main. SCOM Mini Card ko SIM par activate karne ke liye SCOM prepaid SIM se *725# milaiyen.

SCOM Super Card Gold

Bohat se log bar bar Daily, Weekly ya 15 days ke package ko istmal nahi karna chahtey. To un ke liye SCOM mahiney ke liye Super card gold faraham kar raha hai. Is main 3000 on-net minutes, 200 off-net minutes, 500 local SMS tammam network ke liye, 5000 MB aur Free facebook diye jatey hain 30 din ke liye sirf 550 ropey main. To phir deer kis baat ki abhi *725# milaiye aur subscribe karen.

SCOM Super Card Activation

Bohat sarey logon ko SCOM ke super cards ko Active karney main pareshani hoti hai. Agar aap bhi kisi wajah se SCOM ke mini Card ya Super card gold ko apni SIM par Active nahi kar pa rahey to nichey bataiye gaiye tarike par ammal karen.

  • Mobile ke Dialer main *725# mila kar call button dabaiyen.
  • AJ&K ya GB number ke sath jawab den.
  • Ab Super Cards ke number ke sath Jawab den.
  • Jo Card aap active karna chahtey hai us ke number ke sath jawab den.
  • Aap ki SIM Super card active ho jaiye ga.
SCOM Super Card Balance Check

SCOM Super Balance ko check karne ke 2 tarikey nichey share kiye gaiye hain.

Pehla Tarika:-

SCOM Super card ke baaki resources check karney ke liye *125# milaiyen aur phir USSD menu kholney ke baad 1 ke sath jawab den.

Dosra Tarika:-

Google Play Store ya App Store se apni device ke mutabiq SCO APP install karen aur phir Register kar ke login ho jaiyen. Aab aap SCO ki Application ke Home screen par Balance aur resources dekh saktey hain.

Akhri Alfaaz

Mujhe ummed hai ke Asan zuban main aap ko SCOM Super cards ki malumaat aap ke liye faidey-mand rahi hogi. Agar aap ke pass abhi bhi is post se mutaliq koi sawal hai to comment kar ke ham se pochen.

Piyaron ke Sath Share Karen:

Leave a Comment