Kaie baar hamein kisi dosrey number par balance transfer karne ki zarorat hoti hai, Lekin Balance Share service ke barey main Na pata honey ki waja se ham SCOM ki aik sim se dosri sim main balance muntqil nahi kar patay. To aisay main aik sawal zehan main ata hai ke SCOM balance share karne ka tarika kya hai.
Aur ese sawal ka jawab aaj ham is article main mukammal maloomat ke sath share karne ja rahe hain.

SCOM sim ka balance khatam hone ke baad aap ke pass 2 options majood hote hain. 1st Ye ke SCOM sim ko recharge kar lena chahiye, 2nd Agar aap kisi waja se sim main balance nahi kar sakte to aap ko chahiye ke SCO ki taraf se Rs. 15 ka Advance Loan hasil kar lain. To agar in dono options main se aap kisi aik ko bhi istmal nahi karna chahte.
To ab aap ko apne kisi azzez se balance ki request karni hogi. Ya agar aap kisi azzez ko balance transfer karna chahte hain to is article main diye gaiye tarike par ammal karein.
SCOM Balance Share Code
SCOM to SCOM balance share karna asan kaam hai bas aapko aik USSD Code dial karne ki zarorat hai. Is code ko aap asani se yaad rakh saktein hain.
SCOM Balance Share Code *128*qemaat*number# hai. Balance minimum 10 ropay aur maximum 20 ropay share kar saktein hain. Aur zeada se zeada 5 baar aik SCOM number se dosray SCOM number par share kar saktein hain.
Service | Balance Share |
Code | *128*Amount*Number# |
Charges | Rs. 0/Free |
Minimum Share | Rs. 10 |
Maximum Share | Rs. 20 |
Transaction | 5 |
Terms & Conditions
- Balance Transfer service ke koi charges nahi hain.
- Aik din main 5 number par balance share kiya ja sakta hai.
- Aik din main balance share karne ki 5 transaction ki ejazat hai.
- Balance kam se kam Rs. 10 aur Zeada se Zeada Rs. 20 ropay transfer kiye ja sakte hain.
Mujhe ummed hai aap apne dost ya family member ya kisi azzez ke number par balance transfer karne main kamyaab rahe honge, Agar aisa hai. To is post ko aap SCOM ke un customers ko share kar saktein hain Jo aap se connect hain.