Special Communication Organization (SCO) Telecommunication companiyon main se aik hai. Jo Call, SMS aur Internet ki service provide karti hai. SCO ne apne customers ki sahulat ke liye SCO APP launch ki hai.
Agar aap SCO Application ke barey main tammam maloomat jaise ke SCO App Download/Install kaha se aur kaise karte hain, IS main Registration aur Login karne ka ammal kya hai, Is App main kon kon se features majood hain, Aur aise he bohat c maloomat ham yaha is article main share kar rahe hain.

SCO Mobile App
SCO ne Apne customers ko mazeed sahulat faraham karne ke liye baki network ki tarha Application launch ki hai. Jis ka naam SCO Smart App hai. Jis tarha SCO ne Application ke Naam main Smart ka lafaz istmal kiya hai waise he Ye application utni he smart hai.
SCO App main tammam Services aur Features sabhi SCOM sim customers ke liye faide mand ho sakti hai. Niche di gai SCO App ki tammam Services aur Features ki list niche di gai hai.
- SCOM Number
- Subscription Plan
- Account Type
- Remaining Balance
- Remaining Minutes, SMS aur Internet Mbs
- Add-on Offer History
- Top Up (Balance Load) History
- Owner Name aur CNIC/Passport number
- Account Number aur ICCID
- Top Up
- Package Activation (Purchase Offer)
- Balance Transfer
- Advance Emergency loan
- Help Center
Mujhe lagta hai ke ye tammam features aur services har SCOM customer ke liye faida hai. Kiuke customer ko aise sevices ke liye code rakhna hota hai. Aur ab aap ko code yaad rakhne ya talash karne ki zarorat nahi parey gi. To abhi SCO App download karein.
SCO App Download & Install
Special Communication Organization (SCO) ne apne customers ko Application download karne ke liye kafi Popular platform ka istmal kiya hai. Jahan se aap asani se koch seconds main download kar ke install kar sakte hain.
Niche Diye gaiye button par click kar ke apni device ke mutabiq SCO App ko download karein.
Application download hone ke baad khud-ba-khud Install ho jaiye gi. Ab aap application ko Open kar lein aur niche bataiye gaiye tarike par ammal kar ke account banaiye.
SCO App Registration
SCO App main naya Account yani Register hone ke liye niche bataiye gaiye Step par ammal karein.
Step 1
SCO App ko mobile main open karein pher “Register here” par click karein.

Step 2
Ab aik form khole ga Jis main aapko Naya Mobile number aur Password dena hoga.
- SCOM SIM Number Likhein.
- Strong Password banaiye Jo aap asani se yaad rakh sakein.
- Dobara Opper diye gaiye Password ko likh dein.
- Ab “Get” button dabaiyen.
- Diye gaiye Number par aik SMS receive hoga. Os main majood 6 Digit Verifcation Code ko Likhein.
- Ab sirf “Register” button press karein.

Aap kamyabi se SCO Application main Account bana chuke hain. Ab aap ko APP main Login karne ki zarorat hai.
SCO APP Main Login Karein
- SCOM SIM Number Likhein.
- Password Likhein.
- Ab “Login” button dabaiyen.

Agar aap Mobile number aur Password bilkul sahi likh kar login karte hain to pher aap SCO App main login ho sakey ge. Lehaza bilkul sahi SIM number aur password type karein. Agar aap Password bhol chuke hai. Aur ab aap ko Password change karna ho ga.
Change SCO App Password
- Mobile number type karein.
- “Get” button ko press karein.
- Mobile number par receive huwe SMS main se 6 Digit ka tasdeeqi code likhein.
- Ab “Submit” button dabaiyen.
- Aap ke sim numer par SMS ke zariye Password bheja jaiye ga. Jis se aap Application main Login kar sakte hain.

SMS Verifcation Code to Login
SCO App main bina password ke bhi login kiya ja sakta hai. Bas aap SCO app ke login page par “SMS Verifcation Code to Login” par click karein. aur niche diye gaie maloomat par ammal karein.
- Mobile number likhein.
- Tasdeeqi code hasil karne ke liye “Get” button click karein.
- 6 digit ka tasdeeqi code ‘SMS Code’ main likh dein.
- Ab “Login” par click karein.

SCOM Ke Packages:-
Last Words
Agar aapko SCO App ke barey ye hamari taraf se hare ki gai maloomat achi lagi ho to isey apne doston ke sath Share karein.
Verification code he nai ata jhoot bol ry sub