Agar aap Jazz cash account information in urdu janna chahte tu ye jaggha aapke liye bilkul sahi hai. kiu ke Asan Zuban par aapko tammam maloomat asanzuban Urdu aur hindi me milti hai.
To banny rahe is artical ke sath aue sekhe Jazz cash ki tammam maloomat.

Jazz Cash Account Information in Urdu
Agar aap pakistan me rehte hai to aap ne zaror Jazz Cash ka name sona hoga. aur bohat se log to is ka istmal bhi karte honge. Agar aise hai tu aap ke koch maloomat yaha ham Jazz cash ke bare me bata rahe hai. Is ko aap zaror parhe. Pehl ham aapko bataye ge…
Jazz Cash kya hai? isko istmal karne ke kya faide hai, aur is nuksan kya hai, account banane ke liye kya chahiye aur kaise banate hai, pher biometric tasdeeq kaise hoti hai, paise kaise jamma karte aur nikalte hai or kitni limit hoti hai, kisi ko paise kaise send karte hai, kaise account ko mehfoz rakhte hai ya account hack hone se kaise bachaye, zarorat ho to help kaha se le, aur aise he malumat aapko yaha mile ge. to chale shuru karte hai.
Jazz Cash Kya Hai?
Jazz cash pakistan ka sab se bara mobile wallet(pars) hai. Zindgi me banking ko asan aur mehfooz banane ke lakho log is wallet ka istmal karte hai. Jab waqat me zarori raqam ki len aur den ki bat hoti hai. to Jazz cash madad karne ke liye majood hota hai.
Ye aik raqam ki len den karne ki sahulat aur tez zariya hai. Is ke elawa is me security technology shamil hai, Is liye ke istmal karne wale ka tammam Data mehfooz rahe.
Jazz Cash ke Faide Kya hai
Jazz cash ke tammam faide niche list me majood hai.
- Ye aik mobile wallet hai. Agar aapki jaib me paise nahi hai. to aap apne mobile me paise rakh sakte hai
- Aap kisi ko paise transfer karte hai to koi fees nahi lagti
- Jazz Cash se aap kisi bhi bank account me paise send kar sakte hai
- Isse aap bill pay, mobile load, kar sakte ho
- Online koi product kharedne ke liye Jazz cash se pyement kar sakte ho
- Kisi bhi pyement ya paise send karne par kabhi kabhi free minutes, SMS, Data mb, mil jate hai
- Agar aapke ke account se balance khatam ho jata hai to aap loan bhi le sakte hai.
- Kahi jate huwe rasste Chahlan ho jaye to aap os ki pyement kar sakte hai
- Or bohat koch….
Jazz Cash ke Nuksanat
Aap jane honge ke jis chiz ka faida hota hai oska koch na koch to nuksanat bhi hote hai. Wese agar dekha jaye to Jazz cash ke istmal karne ka nuksan koi bhi nahi hai agar aap isse sahi istmal kare to.
- Jazz cash me raqam deposit karne ke liye aapko 1000 rupee ke 10 rupee dene honge. agar aap 10,000 deposit karwate hai to 100 rupee dene honge
- aap ki laa parwahi ki waja se account chori bhi ho sakta hai. aise me majooda balance chori ho jaye ga
- Account chori hone se bachane ke liye apna 4 digit pin kisi ko na bataye
Account Banane ke liye kin Chizo ki Zarorat hai
Jazz Cash account banane ke liye aapko niche bataye gai chizo ki zarorat hogi.
- SIM
- CNIC
- Mobile
Jo sim aap ke Shanakhti card par tasdeeq hai account os par banaye.
Jazz Cash Account Banane ka Tarika
Jazz cash account banane ke 2 tarike ha pehla tarika code *786# dial kar ke aur dosra tarika Jazz Cash app ka istmal kar ke
Code ka Istmal kar ke Acount Banaye
Code ka istmal karte howe jazz cash account banane ka tarika sekhe step by step.
Step 1:
Jazz Cash account kholne ka code *786# hai. bass code dial kare.
Step 2:
Code dial karne ke bad aapke shanakhti card(CNIC) ki Issue Date (DDMMYYYY) likhni hai aur send par click karna hai. send par click karne ke bad aapka account ban jaye ga. tasdeeq ke liye aapko sms masool hoga.
Urdu: Jin ke pass urdu me shanakhti card hai, wo card ki dosri taraf tarikh ajzhaa (تاریخ اجزاء) ke same jo date likhi hai wo likhe.
English: Jin ke pass english ID card hai wo Date of issue ke same wali date likhe.
Issue date likhne ka sahi tarika ye hai ke pehle din likhe pher mahina pher saal. Example: Issue date hai (23/09/2017) to isse likhe ge 23092017 bas.
Important: Agar aap Jazz ya Warid sim ka istmal kar ke Jazz cash account bana rahe hai to *786# dial kar sakte hai. Is ke elawa agar aap Telenor, Zong, Ufone ka sim par Jazz cash accont banana chahte hai to aapko Jazz Cash App ka istmal karna hoga.
Jazz Cash ka MPIN Kaise Banaye
Aab aapne pher *786# dial karna hai aur aapse mpin likhne ko kaha jaye ga bas mpin 4 digit koi bhi code rakh sakte hai bas enter kar ke send par click kare.
Note: PIN wo rakhe jo aap asani se yaad rakh sakke. aur koi dosra banda andaza bhi na laga sakke. aur pin kisi ko bhi na bataye cahhe wo koi bhi poche.
Aab aapka kamyabi se Jazz cash account ban jaye ga aap isse *786# dial karne ke bad istmal kar sakte hai.
Jazz Cash Account ki tasdeeq karwaye
Agar aap apne jazz cash account se raqam ksis retailler se nikalwana chahte hai to aapko Verification karwana zarori hai. Jazz cash ka Biometric retailer ki location janne ke liye “B” likh kar 2179 par message kare.
Wese agar aap sirf Jazz cash se easypaisa, bank account, ya kisi ke account me, paise bhejhna cahhate hai to bina verification kiye bhi bhejh sakte hai.
Paise Kaise Jamma Karwaye aur Nikalwaye
Paise account me deposit(jamma) karne aur withdrw(nikalne) ke liye kisi bhi jazz cash retailer ke pass jaye aur paise jamma karwaye ya nikalwaye. is ke lye zarori hai ke aapke account ki Biometric tasdeeq honi chahiye.
Paise Send aur Receive Kaise Kare
Agar aap ke account me balance majood hai aur aap kisi ko raqam bhejna chahte hai to aap *786# dial kare pher 1 likh kar reply kare menu me 1: mobile account, 2: CNIC aur 3: Bank me raqam bhejne ki service a jaye gi.
Pher aap jis service ka istmal kar ke paise bhejhna chahte bhejh sakte hai. agar aap paise bhejhe ge to jis ko aap paise bhejh rahe hai oske pass pohance jaye ge.
Agar wo chahte to Jazz cash retailer ke pass ja kar paise nikalwa sakta hai.
Jazz Cash Account ki Safety tips
Jazz cash account ki hefazat boaht zarori hai aap agar aap account ko mefooz nahi rakhte hai to aapka account chori ho sakta hai. Jisse aapka balance khatam ho jaye ga. account ko mehfooz rakhne ki koch tips niche majood hai.
- Kabhi bhi Kisi ko apna MPIN na bataye
- agar aapko koi call kar ke kahe aapke number par hamara koi code aya hai to ose na bataye
agar aapka account chori huwa hai aur balance khatam kar diya gaya hai to aap helpline par rabta kare aapki behtreen rehnamai ki jaye gi.
Maloomat aur Rabtay ke Liye Rabta Kare
Mazeed kisi bhi sawal, maloomat aur shakaiyat ki surat me aap jazz cash helpline number 4444 par ya kisi aur network ya Jazz ka number istmal karte howe 021-111-124-444 number par call kar sakte hai.
Jazz Cash Helpline number | 4444 |
Other network aur Jazz user | 021-111-124-444 |
Conclusion
To ham ne aapko Jazz cash account information in urdu me di hai. Ham ummed karte hai ye maloomat aapke lliye madad gaar sabhit hogi.
Agar aapka koi aziz Jazz Cash ke bare me information hasil karna chahta hai Asan zuban me to aap oske sath is artical ko share kar sakte hai.
Jazz cash Account Mpin Locked honay ki surat Mein Koi mjh cash bej skta Ha Ya Nahi…
G bhejh Sakta hai
Plzz Mjh Jaldi Se Reply de
sir pin bolgaya hon