Agar app Jazz cash ka account bana chuke hai aur ab kisi wajah se aap jazz cash account band karna chahte hai tu is ka tarika is post main share kiya gaya hai.

Jazz cash account band karne ke liye kin chizo ki zarorat hai ye jan lena aapke liye zarori hai.
Jazz Cash Account Band Karwane ke liye Zarori Chize
- Jis ke account par jazz cash account hai oska name pata hona chahiye. (agar jazz cash account aapke khud ke name par hai to achi bat hai)
- Mother ka name pata hona chahiye.
- ID card number pata hona chahiye.
Jazz Cash Account band Karne ka Tarika
Sabse pehle jo log jazz yq warid sim istmal karte hai wo 4444 par call kare. or numainda ko bataye ke main ne apna jazz cash account band karna hai.
Non Jazz User: Agar aap Zong, Telenor, Ufone par jazz cash account istmal karte hai. or apne jazz cash account ko delete karna chahte hai wo 051111124444 par call kare.
Jazz cash account band karwane se pehle aapko koch chize note karni chahiye.
- Jazz cash account band karwane se pehle jazz cash account ka balance 0 hona chahiye.
- Jis number par jazz cash account band karna chahte hai. os number se call kare.
aapka jazz cash account koch time me band kar diya jaye ga. jazz cash account band hone ke bad aap kisi aur number par jazz cash account bana sakte hai. agar aap nahi jante ke jazz cash account kaise banate hai to jane jazz cash account banane ka tarika kya hai.
Muje ummed hai ke aaj ka post jazz cash account band karne ka tarika aapke liye help full raha hoga agar han to comment me bataye. agar aapko jazz cash account band karne me koi problem ah rahi hai to comment kar ke apni problem bataye.