How to Check SCOM Remaining MBs

How to check SCOM remaining Mbs? Dosto agar aap ka bhi yaehi sawal hai to yahan ham ne SCOM mbs check karne ka tarika code ke sath diya hai.

SCOM SIM ke users SCOM Internet Packages ko asani se active kar letay hain lekin Jab unhen SCOM remaining data check karna hota hai. Tu woh apney kisi jannay waley se pochtey hai ke SCOM internet Mbs check karne ka tarika kya hai? Agar aap ke kisi jannay wale ko SCOM remaining mbs check karne ke barey main elam nah ho to yaqinan aap mayoos huwey hunge.

Ab aap ko mayoos honey ki zarurat nahi hai, Ab aap hamari di gai maloomat ko parhney ke baad sikh len ge ke scom remaining data package ko kaise check kiya jata hai. Agar aap bhi yahan scom mb check karne ka tarika janney ke liye aaye hai to aap bilkul sahi jagah par hain. To scom internet package check karne ka tarika shuru karte hain.

How to Check SCOM Remaining MBs

How to Check SCOM Remaining MBs

Special Communications Organization (SCO) ne mobile users ke liye SCOM Sim faraham ki hai. Is SIM ko Azad Jammu & Kashmir (AJK) and Gilgit Baltistan (GB) main zeada se zeada istmal kiya jata hai. Kiu ke SCO aik wahed company hai jis ne AJK aur GB main apni telecom service launch dena shuru ki. Aur aaj SCO ki service laakhon log istmal kar rahe hain.

Har SCOM users ko cahiye ke internet ya social packages ko active karne ke baad apni sim ki data mbs ko check kare. SCOM ki mbs check karna asaan hai aap 2 tarikon se MBs ko check kar sakte hain.

  • SCOM mb check via code
  • SCOM mb check via App

SCOM MB Check Code

SCOM internet package ko check karne ke liye aik makhsos USSD code faraham karta hai. Is code se aap apni SIM ka balance aur internet balance ko check kar sakte hai. Lekin ham niche sirf internet balance(mbs) ko check karne ka tarika bata rahe hai.

  • Mobile ka dial pad kholen aur USSD Code*125# milaen.
  • Ussd menu kholne par “1” likh kar send karen.
scom mb check code

How to Check Scom Internet Mbs via App

Agar aap online bilkul muft main apna Scom sim ka internet balance maloom karna chahte hain to ye tarika aap ke liye bilkul sahi rahe ga.

  • SCO ki offical App “SCO App” Download/Install kar len.
  • APP ko open kar ke Rgister ho jaiyen phir Sign In karen.
  • SCO APP ke Home screen par total internet MBs aap ko dikhaie de ge.
Check scom Internet Mbs via sco app

SCOm se Milte Julte Post:-


Last Words

Mujhe Umeed hai ke aap SCOM internet data/mbs ko check karne main kaamyab rahe honge. Agar aap ne hamari is article se Mbs check karna seekh liya hai to apne dosto ke sath is article ko share karen.

Piyaron ke Sath Share Karen:

Leave a Comment