How to Check SCOM Number | SCOM Number Check Code |

Agar aap SIM number bhol chuke hain ya nayi sim li hai aur aap ko number nahi pata chal raha aur ab aap scom sim number check karna chahte hain. Aur aise main aap ne is website ka intkhaab kar ke sahi kiya hai. Ham is article main SCOM sim number ko check karne ka code aur koch tarika caar aur os ke charges ki tammam maloomat share kar rahe hain. Main yaqeen ke sath keh sakta hon ke agar aap is article main majood maloomat se aap apna SCOM number check karne main zaror kamyaab honge.

how-to-check-scom-number

How to Check SCOM Number

Main samajta hon ke SCOM sim number ko check karna aik asan kaam hai. Kiuke SCO ne SCOM ki sim number ko check karne ke liye customers ko sirf 1 tarika diya hai. Lekin ham ne aur bhi tarikey talash kar liye hain. Jin ka istmal karte huwe scom number find karna mumkin ho jaiye ga. Ham jo tarikey yaha share kar rahe hain wo ye hain.

  • Officially Code ke Zariye
  • Missed Call ke Zariye
  • Halpline Par Rabta Kar ke
  • Card Load Kar ke
  • Application Istmal kar ke

SCOM Number Check Code

SCO ki taraf se Prepaid aur Postpaid SCOM sim number check karne ke liye diye jane wala code *999# hai.

ServiceSCOM Number Check
PriceRs. 0.01
SIM TypePrepaid + Postpaid
Code*999#
scom-number-check-code

Kabhi kabhi kisi ye code kaam nahi karta aur hamein “Connection problem or invalid MMI code” error ka samna karna parta hai. Agar aap ke pass bhi aisa he koi error show ho raha hai. To aap ko pareshan hone ki zarorat nahi aap niche diye gaiye baki 3 tarike ko azma saktein hain.

Missed Call Karein

Aap apni mobile se apne kisi family member ya dost ka number dial karein aur bilkul muft call karein aap ka balance 0 honey ki suraat main bhi dial kiye gaiye number par missed call chali jaiye gi. Ab aap asani se dosrey mobile main majood missed call ki history main se apna SCOM number dekh sakte hain.

Jaise ke opper missed call ka bataya gaya hai agar kisi dosrey number par missed call nahi ja rahi to aap ko Card load karwane ki zarorat hai.

Card Load Kar ke SCOM Cumber Check Karein

SCOM scratch card khariden aur *126*Card Number# dial kar ke apni sim main balance load karein.

Ab aap kisi dost ya azezz ke number par call karein jis ka mobile aap ke pass ho. Jaise he aap call karein ge aap ka number dosrey mobile main incoming call ki suraat main nazar aiye ga.

Agar aap kisi ke number par call nahi karna chahte to aap niche bataiye gaiye tarike par ammal kar saktein hain.

Helpline Par Call Karein

Apni SCOM sim se 355 par call karein ya kisi dosrey network se call se call karne ke liye 111-726-726 par call karein aur numaindey se kahein ke wo aapki sim ka number bataiye.

Important:- Aksar aisa hota hai ke customer ke paas SCOM sim nahi hoti aur woh apni sim ka number maloom karna chahe ya pher SCOM ki sim kisi ke naam par aik se zeada hain aur wo apni tammam SCOM sim ke numbers pata karna chahe to use helpline par call karne ki zarorat hai.


SCOM ke Mazeed Post:-


Check SCOM SIM Number Online

Main ne bohat si websites par dekha hai ke wahan SCO Official App ke zariye sim number check karne ka tarika bata rahein hain. Lekin mujhe ye kehte huwe afsos ho raha hai ke ye tarika un customers ke liye nahi hai Jis ko apna SCOM ka number nahi pata.

Aisa main is liye keh raha hon, Kiuke agar koi aisa banda jis ko apni sim ka number yaad nahi hai. Aur ose apna SCOM SIM ka number dekhney ke liye SCOM number se os App main Register/Login hona parey ga. Lekin customer ko wo number yaad he nahi hai jis ke sath wo SCO App main Register ya Login ho sakhe, to wo apni sim ka number kaise check kar sakta hai.

Agar customer SCO APP main Account bana sakta hai Ya Login kar sakta hai apna SCOM ka number istmal kar ke to pher ose number check karne ki kya zarorat hai.

Last Words

Aam tor par kisi bhi SIM istmal karne wale ko apna sim ka number yaad hona chahiye, Wo is liye ke customer ko apne doston aur rishte daron se rabta rakhne ke liye number dene ki zarorat hoti hai. Takey dosrey log zarorat ke waqat Call ya SMS service ka istmal kar ke customer se rabta kar sakey.

Mujhe lagta hai ke ham ne SCOM number check karne ke barey main tammam sawalaat hai jawab is article main share kar diye hain. Agar aap ke pass abhi bhi koi sawal hai to hamein comment karein. Hamein hamesha Asan Zuban main logo ki maddad kar acha lagta hai, Thanks.

Piyaron ke Sath Share Karen:

Leave a Comment