Aj ke is jadded waqat main bhi koch log account bannane ka tarika nahi jante hai chahe wo facebook ka he kiu na ho. To agar aap bhi un me se aik hai aur app nahi jante ke Facebook ka account kaise banaya jata hai to banny rahe hamare is article ke sath. Kiu ke aaj ham aap ko Facebook id bannae ka tarika sekha rahe hai asan zuban me.
Sub se pehle aapko facebook ke bare me koch maloomat dena chahta hu jaise facebook kya hai.

Facebook Kya Hai?
Facebook ka short form FB hai. Aur ye aik social media site hai. Isko 2004 me thefacebook se shuru kiya gaya tha. aur 2005 me iska name thefacebook se sirf facebook rakha gaya. Aur aj ye aik doniya ka sabse zeada istmal hone wala social media hai jiske ab 2021 me 2.85 billion monthly active user hote hai.
Facebook Account/ID Banane ke Liye Kya Chahiye
Facebook Account banana aur ID Banane aik he bat hai. iski id banane ke liye koch chizo ka hona zarori hai. Jo ham ne niche batai hai.
- Mobile, Tablet, ya Computer
- Bowser (Koi bhi ho chale ga)
- Internet Connection
- Email address ya phone number
Agar aap ke pass upper batai gai tammam chize majood hai to aap Facebook account bana sakte hai.
Facebook ID Banane ka Tarika
Face book ki ID banna koi mushkil kam nahi hai main ne dekha hai koch log facebook id banne k liye shop par jate hai aur paise de kar ID banwate hai. Lekin ham aap ab ID banna sikh kar kisi aur ki bhi facebook id bana kar de sakte hai agar koi aapko kehta hai to.
To chale aap ko bata dete hai bina waqat zaiya kiye. aap sirf niche bataye gaye steps ko follow kare.
Step 1:
Sabse pehle aap apni device(mobile, tablet, PC) main kisi bhi browser ko khole aur facebook.com par jaye.
Ya pher Facebook Application ko Android user Play Store aur iphone user App Store se Install kare.
Step 2:
Facebook ki website visit karne ke bad ( ya application ko install kar lene ke bad osse open kare) aur Create New Account button par click kare.
Step 3:
Create account par click karne ke bad aik form khole ga jis me aap ko deatil likhni hogi.
- Pehla name likhe
- Dosra name likhe
- Email address ya phone number likhe
- Pher same Email address ya number likhe de
- Koi bhi password rakhe
- Apni Date of Birth select kare
- Ab Gender select kare
- To ab bass Sign Up par click karo

Step 4:
Aap ne jo email address ya phone number likha hoga os par aik tasdeeqi code masool hoga wo code likhe aur Continue par click kare.

To bass ban gaya aap ka Facebook account ab aap isse istmal kar sakte hai.
To dekha aap ne ke facebook id banane ka tarika kita asan hai sirf 4 step main aap facebook ka account bana sakte hai. Agar ye maloomat aap ko achi lagi ho to niche comment main zaror bataye.
Ye bhi Parhe