Sarkari nukri karne wale logon ko government ki taraf se pension di jati hai. Lekin private adaron main kaam karne walon ko koi bhi private company pension nahi deti. Tu private adaron main kaam karne wale logon ko zindgi bhar ke liye pension ki sahulat dene ke liye Pakistan main aik adara banaya gaya jiska naam EOBI rakha gaya.
EOBI ka matlab Employees’ Old-Age Benefits Institution (ملازمین کا اولڈ ایج بینیفٹ انسٹی ٹیوشن) jaise ke naam se pata chalta hai ke ye company malazmeen ko burhapey main faida pohanchti hai. EOBI ko 1976 main pakistan ke private adaron main kaam karne wale logon ko burhapey main pension dene ke liye banaya gaya tha aur EOBI abhi bhi old age logon ko pension ki sahulat faraham kar raha hai.

EOBI ki Pension ki sahulat ka faida uthane ke liye bohat se log register karte hai. Lekin koch logon ko ye tasdeeq karne main problem hoti hai ke EOBI main apna status kaise check karte hai. Aur aaj ham EOBI main apna status check karne ke bare main baat karne ja rahe hai.
EOBI Card Check Karne Ka Tarika
EOBI employees ko ye pata karne ki asan sahulat de raha hai. Jis ki maddad se aap ghar bethe internet ki maddad se online apni registration ki tasdeeq kar sakte hai.
EOBI card ho ya bina card ke apni registration ki verification pata karni ho tarika dono ka aik jaisa hai. Tu chale step by step EOBI ki verification check karne ka tarika dekhte hai.
Step 1:
Apne Mobile, PC ya Tablet main browser ko open karen.
Step 2:
EOBI ki Official site ke Employees History check karne wale Page par jaye.
Note: EOBI card ki verification sirf Monday se Friday (9.00 AM se 7.00 PM) tak check ki kar sakte hai.
Step 3:
- EOBI Card par majood EOBI no likhe
- Ya new CNIC likhe
- Ya old CNIC likhe
- Ab sirf samne green arrow par click karen

Agar ap EOBI main register hon ge tu tammam maloomat aap ko screen par dikhai degi.

Is tarha se aap sirf 3 step main EOBI card ki tasdeeq kar sakte hai. agar aap ka koi dost is ke bare main janna chahte hai tu is maloomat ko apne dost ke sath zaror share kare, Taake wo bhi apni EOBI ke account ki tasdeeq kar sake.