CNIC Par SIM Number Check Karne ka Tarika 2022 Me

Agar aap Shanakhti card par sims ke numbers aur taddad ko check chahte hai. To aj ham aapke sath koch aisey tarike share kar rahe hai jis ka istmal kar ke aap CNIC par majood tammam sim ke number aur taddad ko dekh sakte hai.

CNIC Par SIM Number Check Karne ka Tarika

Ham aapko pehle bata den ke sim ki taddad aur sim ke number dono alag hai. Is liye ham pehle CNIC par majood tammam sim ke numbers ko check karne ka tarika bataye ge. Pher SIM ki taddad (yani CNIC par kitni sim register hai) ko check karne ke tarike bataye ge. To artical ko chor kar na jaye aisi maloomat filhal abhi tak koi nahi farhaam kar raha. To shuru karte hai.

apne mobile number se CNIC maloom karna sekhe asan zuban me.

CNIC Par SIM Number Check Karne ka Tarika

Koch logo ke sath aksaar aisa hota hai ke wo sim apne name par register karwa lete hai pher kisi wajah se wo sim ghum ho jati hai, aur sim ke malik ko number bhi maloom nahi hota. To aise waqat me aap apne Shanakhti card number ke zariye kisi bhi sim ke number ko check kar sakte hai.

Agar aapke pass sim majood hai jis ka number aap bhol chuke hai. To aap bohat asani se sim number ko check kar sakte hai Bas artical sim number check karne ka tarike ko parhe.

Har network ka tarika mokhtlif hai. Is liye apne network ki sim ke mutabik tarike par ammal kare.

CNIC Par Jazz/Warid SIM Number

Agar aap apne CNIC par register Jazz aur Warid sim ke number maloom karne ke liye Jazz helpline 111 par call kare. nummainde ko bataye ke me apne cnic par majood tamam Jazz ya warid sim ke number janna chahta hu wo aap se tasdeeq ke liye ID card(CNIC) number aur name poche ge. aap unhe bata den. maloomat ki tasdeeq karne ke bad wo aapke name par majood tammam Jazz/Warid sim ke numbers aapko bata denge.

Bohat se log sawal karte hai ke hamare CNIC par 1 sim register hai aur abhi wo hamare pass nahi hai. To is surat me wo kisi aur number se 111 par call kare aur nummaide ko apna Shanakhti card number aur name bataye wo aapko number bata dega.

Agar aap helpline par call nahi karna chahte to Jazz franchise visit kare.


CNIC Par Telenor Sim ke Number

Apne CNIC par maujood Telenor numbers janne ke liye asan aur Behtreen tarika ye hai ke aap online Telenor live chat section khole aur name ke sath koi bhi number likh kar start chat par click kare. Aapki request agent se connect hone ke bad aap unhe bataye me apne shanakhti card par tammam sim ke number pata karna chahta hu.

Tasdeeq ke liye wo aapse ID card ki dono taraf ki photo mange ge ap unhe send kar den. Wo aapko tammam numbers bata denge.

Ya pher aap Telenor helpline 345 par call lain. charges 2.69 paise honge. aur aapko Apne CNIC par register number say 345 par call karni hogi.

Agar aap ke name par 1 Telenor sim hai to app Telenor agent se live chat kar ke os ka number maloom kar sakte hai. Ya pher CNIC ke sath Telenor franchise visit kar lain.


Zong SIM ke Tammam Number

Zong ke tammam verified aur unverified sim numbers ko check karne ke liye niche bataye gaye tarike ko follow kare.

  • Verified numbers check karne ke liye “v” 7911 par send kare
  • Unverified number pata karne ke liye koi bhi lafaz ya khali message 7911 par kare

SMS apne CNIC pe tasdeeq Shuda kisi number se bhejhe. Jo number aap ke CNIC par hon gay aapko SMS mosol ho jay ga, lakin ap apne name per register zong sim se he sirf check kar saken gay

Zong ki aik sim register hone par behtar rehnumai kay liye apne orignal cnic kay sath qareebi zong offer visit kijiye


Ufone SIM Number Check on CNIC

Apne CNIC pe Ufone ke tasdeeq aur gair-tasdeeq shuda registered numbers ko check karne ke liye Write message wale option me shanakhti card number likh kar 6001 par bghair kisi charges ke send kare. Ye Ye message aapko os Ufone number se bhejna hoga jo aapke CNIC par registered ho. Is ke elawa aap Ufone office ja kar numbers maloom kar sakte hai.

CNIC par Ufone ki sim 1 sim registered hone par Ufone Business Center ya Ufone ki franchise visit kare.


Akhari Alfaz

Ham ne Aap ko is artical me Jazz/Warid, Telenor, Zong, Ufone sim ke number CNIC ke zariye check karne ka tarika bataya hai. Aur in me wo tammam sawal ke jawab majood hai jo log pochte rehte hai.

Agar aapka is articel ko parhne ke bad koi bhi sawal ya CNIC par number check karne me koi issue A jata hai to aap hame bataye ham aapki behtreen rehnmai kare ge.

Piyaron ke Sath Share Karen:

Leave a Comment