Check CNIC Through SCOM Sim Number Online

Dosto agar aap ke pass SCOM ka SIM card hai aur aap SCOM SIM ke zariye CNIC/ID card number check karna chahte hai to phir aap ne hamare is article ka intkhaab kar ke sahi kiya hai. Kiu ke yahan ham scom sim number se ID card ka number check karne ka tarika share kar rahe hain.

To agar aap apne SCOM number se CNIC maloom karna chahte hain to is article main bataiye gaye us tarike par ammal karen jo CNIC check karne ke liye bataya gaya hai.

Check CNIC Through SCOM Sim Number

Check CNIC Through SCOM Sim Number

SCOM ne apne customers ke liye personal detail check karna mumkin bana diya hai. Ab aap apni SCOM numer se ID card/Passport number check kar saktey hai. Aur is ke elawa Customer ka name kya hai ye hi check kar saktey hai yani aap mukammal SCOM number ki Ownership bohat asani se check kar saktey hai. To chalen bina time zaaya kiye SCOM number ki ownership check karne ka tarika ki taraf chaltey hain.

  • Sab se pehle apne mobile main “SCO APP” instal karen.
  • Ab Register kar ke Signin ho jaiyen.
  • Sab se oper 3 line/Menu par click karen.
  • Menu khol jaiye ga sirf “My Profile” Option par click kar den.
  • To aab uper Customers tab ko open karen.
  • Aab aap Mobile/Pc Screen par Customer name aur ID/Passport number dekh saktey hain.
Check id card number through SCOM

Miltey Jultay Post:-


Akhri Paragraph

Umeed karta hun ke Hamari ye post aap ke liye faide mand saabit rahi hai. Agar aap ke pass SCOM se mutaliq koi aur sawal hai to ham se comment kar ke pochen.

Piyaron ke Sath Share Karen:

Leave a Comment