All SIM Balance Save Code aur Tarika 2022 Me

Aj ke time main mobile bohat Aam chiz ho chuki hai aur iske sath sath log mobile main internet ka bhi istmal karte hai, To kabhi wo internet ka istmal karne ke liye WiFi ka ya mobile data ka istmal karte hai.

Aur mobile ka data istmal karne ke liye Mobile me sim ke sath sim me internet package ka hona bhi lazmi hota hai. Agar package na ho to mobile data ON karne par majooda sim ka balance khatam ho jata hai.

Agar aap internet package sim par lagate hai to pher aap mobile me sim ki madad se internet ka istmal karte hai. Agar aap ne apni majooda sim par sirf whatsapp ka package lagaya aur aapki sim me balance majood hai to wo bhi khatam ho jaye ga aur aapko pata bhi nahi chale ga.

To is surat me aapko apni sim par balance save karne wali service ko active kar lena chahiye kiu ke ye aapke sim balance ki hifazat ke liye hai Isse active karne par aapke majooda sim main koi bhi internet package na bhi ho aur aap mobile data ko On karte hai to aapka balance otna he rahe ga, khatam nahi hoga.

To kisi bhi sim Jazz/Warid, Ufone, Zong, Telenor, SCOM par balance save karne wali service ko active karne ka code aur tarike ke sath maloomat niche ham ne aapke sath share kiya hai jo sahi hai aur kaam bhi karta hai.

All SIM Balance Save Code

All SIM Balance Save Code

Balance ko save karne ka code jo network dete hai un tammam network ki sim ke code niche diye gaye hai.

SIM NameCode
Jazz aur Warid*275#
Zong*4004#
Telenor PayG Plan
UfoneTarika
SCOMTarika

Jin network ke code balance ko save/lock karne ke liye majood nahi hai os ke liye ham aapke liye niche tarike bataye gaye hai. Janiye tammam sim number check karne ka tarika.

Jazz ya Warid SIM ke Balance ko Save Karne ka Tarika

Balance ko save rakhne ke liye Jazz Balance saver aur doosra balance offer apne costomers ko deta hai. jis se aap apne balance ko 100% safe rakh sakte ho.

Jazz Balance Saver

agar aap Jazz ya Warid sim istmal karte hai to *275# dial karo jawab main aapko bataya jaye ga ke Balance saver aap ke number par subscribe ho gai hai. aur ye bilkul muft hai. Khidmat ko khatam karne ke liye *275*4# dial karein.

Jazz Doosra Balance Offer

Jazz doosra balance ka istmal kar ke bhi apna jazz/mobilink/Warid sim ka balance save kar sakte ho. bas niche bataye tarike ko follow karo.

  • *869# dial kar ke service ko subscribe karo
  • Pher *869# dial kar ke reply menu me 1 likh kar reply karo
  • Jitni raqam doosrea balance me daalni hai raqam likh kar ok karo
  • Raqam doosra balance me daal jaye gi

Raqam doosra balance me daalne ke bad aap internet istmal kar sakte ho balance bilkul safe rahe ga.

Ab jab aapko jitne balance ki zarorat ho *869# dial karo pher 2 likh kar reply karo jitna balance nikalna hai raqam likh kar send karo raqam aap ke mian balance me a jaye gi. Raqam muntaqil karne ke cherges 1+tax honge.

Aap Doosra balance service ko apne sim ke balance ka doosra account samajh sakte ho kiu ke jab aap doosra balance account me raqam bhejhte ho to wo balance mian account se doosre account main chala jata hai pher agar aap *111# mila kar balance ko check kare ge to sirf main account ka balance show hoga.

her aapko dikhaya jaye ga doosra account ka balance. jab aapko mian account me balance ki zarorat ho to aap easily muntaqil kar sakte ho.


Zong Balance Save Karne ka Tarika

Zong apne users ke liye balance ko save rakhne ke liye Balance save service deta hai. isko hasil karne ke liye *4004# mila kar sim ke mutabiq reply menu me prepaid sim ke liye 1 likh kar reply kare aur postpaid sim ke liye 2 likh kar reply den. pher aik naya menu khole ga os me 1 likh kar jawab den service sim par active ho jaye gi. Is ke elawa My Zong App ka istmal se bhi Balance save service ko subscribe kiya ja sakta hai.

Aap balance save service ko sms ke zariye bhi active aur deactive kar sakte ho. tarika niche bataya gaya hai.

Prepaid user

Activation ke liye: “sub dsspre” likh kar 6464 par message bheje

Deactivation ke liye: “Unsub dsspre” likh kar 6464 par bhejo

Postpaid User

Active karne ke liye Sub dsspos likh kar 527 par sms bhejna hai

Deactivtion ke liye: unsub dsspos likhne ke bad 527 par message bheje

Tammam tarike bilkul muft hai.

Ye service aapki sahoolat ke liye faraham ki ja rahi hai ta kay aapko balance se mutaliq data serives par koi izaffi raqam charge na ho.


Telenor Balance Save Karne ka Tarika

Telenor apne tammam user ko PayG blocker package plan faraham karta hai jis me agar koi user internet offer activate karta hai to he internet istmal kar sake ga. Agar offer active ho or offer ki validity baki ho lekin MBs na ho to ap agar internet use kare ga to os ko standard rate par charges hon ge. Lekin agar offer he na ho to aapka balance mobile data on hone par charge/khatam nahi hoga.

PayG blocker ko active karne ke liye helpline 345 par contact kar ke active karwa sakte hai Rs 10 charges hai. Isse Jab tak aap change nahi karwa lain ge, activate rahae ga. matlab 1 bar active karwa li pher permanent active rahe gi jab tak deactivate na karwaye.

Telenor hepline number 345 par call kare pher numainde se bat karne ke liye call par 1 ka button press kare os ke bad 0 button press kare aur akhir me dobara 0 ka button press kare charges Rs 2.69 hon ge.

Important: Baas Internet offer active na hone ki surat me aap internet istmal nahi kar sake ge. Yani agar internet package nahi hoga aur sim me balance majood hoga to mobile data on karne par balance charge nahi hoga. Lekin agar aapka sirf whatsapp ka package hai aur aap whatsapp istmal karna chahte hai to baki internet chalne wali application ko aap phone application ma ja kar whatsapp ke elawa tamaam applications ko disable kar dijiye phir aapka balance charge nahi hoga.


SCOM aur Ufone Balance Save Karne ka Tarika

Ufone aur SCOM filhal koi service nahi faraham nahi kar raha jisse aap apne balance ko save rakh sake lehaza aap niche bataye gaye tarike par ammal kar ke apne Ufone/SCOM sim ke balance ko save kar sakte ho.

Aap mobile ki setting me “mobile network” option par ja kar pher application me ja kar Jo application app istmal karna chahte hai osko chor kar baki tammam internet usage karni wali application ko disable kar dijiye phir aap ka balance save ho jaye ga.

Example: Agar aap ka sirf whatsapp ka package hai aur majooda sim me balance majood hai to is surat me aapko whatsapp ko chor kar bakki tammam Apps ko band kar dena hai.


At Last

Ham ne aapke sath balance ko save karne ka jo sahi aur asan tarika hai wo share kiya hai. aur ham ummed karte hai ke share ki gai maloomat aapke liye helpful rahi hogi. Agar aap ko abhi bhi koi pareshani hoti hai balance ko mehfooz karne me to ham aap hame bataye ham aapki madad kare ge.

Piyaron ke Sath Share Karen:

2 thoughts on “All SIM Balance Save Code aur Tarika 2022 Me”

Leave a Comment