Koch log Jazz ya Warid, Ufone, Zong, Telenor, SCOM ki nai sim lete hai. to aisay me unhe in sim ke codes ka nahi pata hota. Jis waja se wo apna sim ka balance nahi dekh sakte.
Aur wo kabhi to kisi se poch lete hai. aur kabhi internet par talash karte hai balance check karne ka tarika. To is liye ham aapke liye tammam sim ke bakki balance ko chaek karne ka code aur tarika le kar aye hai sirf hai artical me.
Agar aap is artical ko read kar lete hai tu aap sims ka balance ko check karna sekh jaye ge.

All SIM Balance Check Code
Tammam network Jazz, Warid, Zong, Telenor, Ufone aur SCOM ka balance check karna bohat asan hai. All network balance ko check karne ka aik makhsos code pesh karte hai. Jis ka istmal kar ke user asani se apne sim ka balance dekh sake. Code ki list niche majood hai.
SIM Name | Check Code |
---|---|
Jazz/Warid | *111# |
Telenor | *444# |
Zong | *222# |
Ufone | *124# |
SCOM | *125# |
Ab ham aapko alag alag kar ke code ke sath charges aur check karne ka tarika bhi bataye ge.
Jazz aur Warid Balance Check Code
Warid ho ya Jazz code dono par kam karta hai kiu ke Jazz aur Warid ab ye mil chuke hai. Balance ko check karne ke liye Apne mobile ka dial paid khole aur *111# dial kare prosesing sone ke bad screen par aap ka majood sim ka balance dikahai dega. Charges 0.24 tax shamil hai.
Code | *111# |
Charges | 0.24 paisa |
Jazz/Warid Balance Check Karne ka Tarika
Jazz/Waris sim ka balance muft me check karne ka tarike bhi majood hai bas is ke liye apka internet package ya Whatsapp pkg hona lazmi hai.
- Subse acha aur free tarika istmal kar ke balance check karna apke liye asan bana diya gaya hai. sirf is 03003008000 Whatsapp number ko save kar ke “Hi” likhe kar message kare. Jawab milne par Balance and usage Details ke number se reply kare. aapko baki balance bata diya jaye ga.
- Jazz apne user ke liya Jazz World app me wo tammam khidmat deta hai jo aik user ke liye zarori hai. Jis me se balance free me check karna 1 khidmat hai. pher abhi Jazz World app install kare aur signin hone ke bad app ki homescreen par balance dekhe.
Telenor Balance Check Code
Telenor balance check karne ka code *444# hai. is ke charges 0.24 tax shamil hai.
Code | *444# |
Charges | 0.24 paisa |
Telenor Balance Check Karne ka Tarika
Aap *444# dial kar ke tu balance maloom kar sakte hai iske elawa aap Telenor ka free me balance online dekhne ke liye aap My Telenor app ya pher Telenor eCare ka istmal kar sakte hai.
Zong Balance Check Code
Zong sim ka balance dekhne ke liye code *222# ya dial kare. Har bar balance ko dekhne ke chages 0.20 paise+tax
Code | *222# |
Charges | 0.20 paise+tax |
Zong Balance Check Karne ka Tarika
Zong Balance dekhne ke liye *222# milaye charges 0.20 paise +tax me. Aur is ke elawa Urdu zuban me balance janne ke liye 200 aur English zuban ke liye 222 milaye charges 0.43 paise +tax/har bar.
Agar aap chahe to bilkul free me Zong balance check kar sakte hai. sirf My Zong app apne mobile me install kare pher sign in hone ke bad pehle page par sabse upper aapki sim ka balance dekhai dega. is ke liye aapka internet package hona zarori hai.
Ufone Balance Check Code
UBalance check karne ka code *124# is ke charges 24 paise hai. ya aap 124 par call kar ke balance dekh sakte hai 60 paise me.
Code | *124# |
Charges | 24 paise |
Ufone Balance Check Karne ka Tarika
Ufone sim par balance check karne ke liye *124# dial kare ya 0.24 paise me ya 124 par call kare 0.60 (tax shamil) paise har call me. Ya pher agar aap ka internet package hai tu aap bilkul free me My Ufone app ka istmal kar ke balance check kar sakte hai.
Khadim, ap apna Prepaid account balance aur expiry check karny ky liye sirf 24 paisay mein *124# dial karain ya 60 paisay per call including tax mein 124 py call karain.
SCOM Balance Check Code
SCOM prepaid aur postpaid sim ka balance check karne ke liye *125# dial kare.
Code | *125# |
Charges | N/A |
SCOM Balance Check Karne ka Tarika
SCOM sim prepaid ho ya postpaid dono ka balance maloom karne ke liye *125# dial kare ya SCO Mobile App install kar ke account banane ke bad log in kare pher aap pehle page par balance dekh sakte hai.
Akhri Bat
Ham ne aapko Jazz aur Warid, Telenor, Zong, Ufone, SCOM sim ka balance check karne ka tarika bataya hai. Jo ke ham ummed karte hai ke aapke liye sahi sabit honge.
Agar aap ko koi mushkil hoti hai balance maloom karne me ya aapka koi sawal hai to aap ham se poch sakte hai. Jo log balance ko maloom karne ka tarika nahi jante hai un ke sath is article ko share kare.