3G SIM Ko 4G Karne Ka Tarika 2022 Me

Is teez waqat me Ab internet bhi logo ko teez chahiye jis wajha se internet ki jo service dete hai wo 4G speed faraham kar rahe hai aur agar ham baat karen Jazz, Telenor, Ufone, Zong ya SCOM sim istmal karne walon ki to koch logo ke pass abhi bhi 3G sim hai.

Aur ab wo os 3G sim ko 4G me tabdeel karna chahte hai par baat ye hai ke inhe nahi pata ke 3G sim ko 4G me kaise convert karna hai.

To isse liye ham aap ke sath aaj 3G sim ko 4G karne ka tarika share kar rahe hai.

3G SIM Ko 4G Karne Ka Tarika

3G SIM ko 4G Karne ka Tarika

Majooda 3G sim ko 4G me convert karne ka tarika ham ne aapke sath network name ke sath share kiya hai.

Jazz/Warid

Apn 3G Mobilink/Warid aur Jazz sim ko 4G karne ke liye ID card ke sath kareebi jazz customers service center ja kar unhe bataye ke ham ne apni 3G sim ko 4G karwana hai wo aap ko 3G sim ki jagha 4G sim denge. Kareebi center pata karne ke liye apni sim se 7089 par aik khali sms bhejhe.

Telenor

Apne asal CNIC ke sath Telenor ke kisi bhi qareebi retailer shop ya qareebi Telenor Office visit kar lain. Sirf 100 ruppe me Telenor sim ko dplicate sim karwa kar aap 3G sim ko 4G me convert kar sakte hai. sim 4G ki tasdeeq karne ke liye click karen.

Zong

Apni sim ko 4G par click ke liye aap apne shanakhti card ke sath Zong customers service center ya biometric retailers pe tashreef laein. Aur sim ki tabdeeli karwane par 4G sim ban jaye gi. Biometric retailers ya franchise se sim tabdeel ke charges 100 rupe hai aur CSC se sim ki tabdeeli par charges 150 rupe hon ge.

Ufone

Aap 4G sim hasil karne ke liye apne asal CNIC ke sath Ufone qareebi business center, franchise ya U Shop visit karen charges 100 rupe honge. Ya aap number ki 4G sim ki request My Ufone aap se bhi forward kar sakte hai.

SCOM

Abhi Majood Nahi……WAITE

Aap kisi bhi shikaiyat ki surat me istmal karte huwe sim ke mutabiq un ki helpline number par call kar sakte hai.

Thank you.

Piyaron ke Sath Share Karen:

Leave a Comment